Hindi translation :- Haaan aaj wahi din hai, Jis din tune mujhe chhora thaa! Saath rehne ka waada hum dono ne kiyaa thaa, Par muuh mod lene ka faislaa sirf tune hi kiyaa tha! Tu saath rehke bhi saath nahi thaa,
Nazar humse churaake waqt ussey diya karta thaa, Kaun thi wo jisne tujhe chunaa thaa? Kya aaj bhi hai wo jiske liye uski babu shona sirf tu hoya karta thaa?
Khair, Tu chhora iss baat ka koi gham nahi hai mujhe,
Kyunki gham tere jaane ka nahi tere saath itne saal rehne kaa thaa! Baatein jo kahi thi tune,
Ab tak mann main aabaad hai!
Kaha thaa "rani banake rakhunga",
Ye baat ab tak mujhe yaad hai!
Ye bhi yaad hai ki tere se zyada gussa, mujhe aata thaa,
Haan main hi sabse zyada ladti thii, Par tujhe kho naa du Ye sochke sabse zyada main hi darti thii! Shayad teri kuch majboori thii,
Jo mujhe pata nahi hai, par sab kuch sirf aur sirf, main hi kyu jhelu
Jab meri koi khata nahi hai?
Sabko tere chale jaaane ka wajah batate batate bikhar jaati hoon,
Tu chhor kaise diya mujhe Ye sochke ab bhi pareshaan hojaati hoon! Fursat main jab likhne bethti hoon,
Har waqt tera zikra zarur karti hun!
Kehte hai khuda aise insaano ka imtehaan lete hai,
Par unhe kya pata mere har imtehaan pe mera dil kurbaan hai! Tum bane nahi the mere naseeb ke liye, Bus chale gaye baatein ajeeb karke!
Aaj tak kalam se dil ki awaz likhti hun,
Jab bhi teri yaad aati hai main alfaaz likhti hoon!Chaliye chhoriye aapko bhi kya apna dard sunana!