DIL Meri Jaan with Joy G

Iraadaa | Determination | kya hai aapka? | Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi | #72


Listen Later

Iraadaa

इरादे बांधता हूँ सोचता हूँ तोड़ देता हूँकहीं ऐसा न हो जाये कहीं वैसा न हो जाये- हफ़ीज़ जालंधरी

Doston iraadaa humare liye kitna zaroori shabd hai shaayad humein hi uska andaaza nahi hai. Safal aur asafalta kebeech ka fark humare iraadon se hi tay hota hai. Paane aur naa paane ke beech ka fark humare iraadon mein hi chupa hua hai. Kuch banne aur na banne ke beech ki doori bhi humare iraade hi decide karte hain.

Aur itna important mudda hone ke bawajood bhi hum iss par baatchit hi nahi karte hain. Magar ab aisa nahi hoga. Aaiye Iraadon ki duniya mein jhaankar unhe samajhne ki koshish karte hain, unhe janne ki koshish karte hai aur seekhne ki koshish karte hain humare zindagi ko humare rishton ko thoda behtar banane ka!

Agar aapko yeh episode pasand aaya ho to aap please isey like, rate aur share kar lijiyga aur channel ko follow aur subscribe bhi kar lijiyega. Mujhe issey kaafi prerna milegi aur main aapka bahut aabhari rahunga.

Dil Meri Jaan with Joy G, woh podcast show hai, woh manch hai jahan aap aur main milkar relationships yaani riston ke baarein mein, jazbaaton ke baarien mein, ehsaason ke baarein mein baatchit karengey, inhe samjhenge, kareeb se jaanenge, shero-shayari ki madad se, kavitaon, ghazalon, nazmon aur geeton ki madad se, philosophers ki madad se.

Is podcast show ka maqsad hi rishton, jazbaaton aur ehsaason ko samajhna hai aur zindagi ko ek naye andaaz se dekhne ki koshish karna hai. Aapke saath milkar ek aisi community banani hai jahan hum ek naye nazariye se rishotn ko dekh sakein aur unhe ek behtareen tareekey se nibha sakein.

Agar aap relationships ke baarein mein, emotions ke baarein, feelings ke baarein mein kuch bhi discuss karna chahtey hain ya kuch bhi share karna chahte hai to mujhe email zaroor kijiyega, mera email id hai ⁠[email protected]

Aur doston agar aap zindagi, relationships, music mein dilchaspi rakhtein hain to kindly mujhse Instagram par bhi judein, mera Instagram handle hai @dilmerijaanwithjoyg. Main yahan shero-shayri, nazm, ghazal, sangeet ya poetry se zindagi ko dekhne ki, samajhne ki koshish karta hoon. Aap judhenge toh bahut accha lagega.

Credits & Other information:

Written and narrated by: Joy G

Music: Pixabay

Poems/Shers/Nazam used: Credit given to individual artists/ writers/creators

Email: ⁠[email protected]

Instagram handle: @dilmerijaanwithjoyg

Disclaimer:

Yeh episode meri niji raai hai, rishton aur ehsaason ke baarein mein meri niji soch hai jo maine zindagi se, apne tajurbe se aur auron ke rishton ko dekhkar, samajhkar haasil ki hai. Maine poori koshish ki hai ki aap ke samne jo bhi pesh karun woh sahi ho. Agar aapko kuch bhi galat lagey toh kindly mujhse share karein aur main immediately usko sudharne ki poori koshish karunga! Aur is episode mein maine meri likhi hui kavitaein, shero-shayari, geet, nazam aur ghazal ka allava kisi bhi dusre artist ka ya funkaar ka kuch bhi ullekh kya hai uska maine credit unko diya hai. Agar usme koi bhi truti hui ho toh main kshamaprarthi hoon!  

...more
View all episodesView all episodes
Download on the App Store

DIL Meri Jaan with Joy GBy Joy G