Sach Ki Duniya

जी या मर...


Listen Later

LYRICS= Ji yaa marr...
Kar jeete ji kuch kar,
Khafa naa rah khud par,
Naa samajh toh dusro se seekh,
Aur bol usko sir,
Sar laga khud ka,
Aur kuch kar ke dhar,
Sikhkar,
Samajhkar,
Sikhakar,
Samjhakar,
Bann thora teez tar-raar,
Yaa dheet bann kar,
Stithi suwikaar,
Ya stithi sudhar,
Jo tere haath,
Tab jeet ka haar,
Aur jivan falhaar(fruitful),
Aur damdaar teri salah,
Sametenge logg samajh teri kala,
Aur teri seekh se jo chala,
Wo phala fula,
Aur badhta tera silsila,
Machla maan,
Aur dara agar,
Toh zara tha-har,
Jhakkar dekh,
Kami kidhar,
Sudhar aur jeete ji kuch kar,
Samay geena hua,
Aur paristhiti kisi ka naa ek jaisa thama hua,
Naa koi yaha chuna hua,
Mauke sab ko mila yaha,
Bina jo kahe kaha,
Aur ghuma tu jaha taha,
Samay kat-ta raha,
Jeena aur marna yaha,
Par jeete ji naa kuch kiya,
Toh jivan na rona dhona,
Kahe na sikhna?,
Chahe Na Karna,
Kya marna?,
Jeene ki chaah rakhna,
Bada kaam tujhe hai jo karna...
...more
View all episodesView all episodes
Download on the App Store

Sach Ki DuniyaBy SACH'S_GRAPHY