Beautiful Poem by Aarti Bali...
Dil ka har tukda bemisaal ho gaya..
Wo din bhi the jab dil khila khila sa tha...
Usse ek Naya santhi jo mila tha ...
Har taraf bas phool khile the...
Dilo me hamare tab na koi gile the....
Muskurate the saath me...
Shayad koi umeed nahi thee ik dosre se...
Bas dosti kar.. khush the zindagi se...
Par hum ishq ke kya hue...
Dil ka har tukda bemisaal ho gaya ..
Ab pyaar se sarabor hai hum..
Dosto ki tarah nahi zindagi ki tarah milte hai...
Par jaane kyu har baat pe ladte hai ....
Aisa karna chahiye tha? ..
Ki umeedo me ulajh gaye hai jaane kyu....
Ek duje pe hakk jatate jatate...
Bikhar rahe hai jaane kyu??....
Dil ka har tukda bemisaal ho gaya ....
Dosti se pyaar tak ka safar
Kuch khatti kuch meethi yaado se bhara .....
Yu ulajhte sulajhte mahine beet te gaye aur saal ho gaya.....
Dil ka har tukda bemisaal ho gaya . ..
Chalti rahegi yu hi zindagi...
Mana lenge ek doosre ko...
Par aao ek baar baithe aur soche...Ke hamare saath ke maayne kya hai
Kya kuch pal ki ashiqui hai ya zindagi bhar ki hai mohabbat?
Kya kuch pal ke saath ki chahat hai ya zindagi bhar ka hai safar?
Ulajhta hai dil..Phir badi mushkilo se sambhalta hai dil…
Tukdo me bikharne ki..Isse aadat bakhoob hai ..Par unn tukdo ko sametne se bhi dartaa hai yeh dil....
Hum ishq ke kya hue..Kamaal ho gaya..Dil ka har tukda bemisaal ho gaya..