
Sign up to save your podcasts
Or


Vachno ka bandhan hame kisi na kisi vichitr paristhithi me daal hi deta hai, iss bandhan me sirf insaan hi nahi balki bhagwan bhi aa jaate hai, aaj ki kahani me hum janaege ki aakhir aisa konsa vachan diya tha Bhagwan shiv ne jiske karan unhe swaym ke avtar Hanuman ji se hi yuddh karna pada. Kya thi vo vachan badh paristhithi jisse aisa bhayank yuddh hua jiske karan bharat ke putra pushkal ka bhi vadh ho gaya tha. Suniye yeh ansuni katha sirf Mere Prabhu Ram ke iss episode mein.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
Karmo ka phal sabko milta hai, chahe wo devta ho ya ek aam insaan. Shri Ram aur Mata Sita ne 14 saal ka vanvaas bhogha tha. Kya aap jaante hain ki vanvaas ke dauran unka viyog ek tote ke shraap ke karaan hua tha? Ek tote ne Mata Sita ko bhayankar shraap diya tha, jo unke aur Shri Ram ke beech doori ka karan bana. Aakhir kyun diya uss tote ne aisa shraap? Kya thi iske piche ki wajah? Janiye is Mere Prabhu Ram ke special episode mein.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
Jab Bhagwan Shri Ram aur Lakshman, Mata Sita ki talaash mein van mein bhatak rahe the, tab unka samna ek ajeeb aur bhayankar rakshas Kabandh se hua. Na sir, na pair—aur mooh uske pet mein!
Aakhir Kaise Prabhu Ram ne kiya iss ajeeb se Rakshas ka uddhar aur usne unhe kaun si jaroori salah di? Suniye yeh ansuni katha sirf Mere Prabhu Ram ke iss episdoe mein.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
Prabhu Ram ke prakram ke hamne bahut sare kisse sune hain, par jab Prabhu Ram ka yuddh Raavan ke sath ho raha tha, tab Akhir kyun Shree Ram ne Raavan ke sare angon par baano ki varsha kardi par hriday par ek baan bhi nahi chalaya? Akhir kyun?
Suniye ye anokha kissa Mere Prabhu Ram ke iss episode mein.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
Ram, Lakshman, Bharat, aur Shatrughan. Hum sabne inn charon bhaiyon ke atoot prem aur bandhan ke dhero kisse sune hain, par aisa kya huaa ki Laxman ko apne bhai Bharat par itna gussa aaya ki wo unn se yuddha karne ko taiyaar ho gaye? Aur Prabhu Ram mein unke krodh ko shant karne ke liye kya kiya? Suniye ye anokha kissa Mere Prabhu Ram ki iss episode mein.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
Kya aapne uss chhoti Gilhari ke bare mein suna hai jisne Ram Setu banane mein apna yogdan diya tha? Suniye Mere Prabhu Ram ka ye episode aur janiye aakhir uss choti Gilhari ne kaise diya apna yogdan aur uski bhakti, prayas aur mehnat dekh ke Prabhu Shri Ram ne usey aisa kya aashirwaad diya jisne uski zindagi badal li?
See omnystudio.com/listener for privacy information.
According to ancient belief Nala and Neela, are believed to be the sons of Rishi Vishwamitra. The sages once cursed them, but this curse later became a blessing. What was the curse that turned into a boon for them? Listen to this episode to find out!
See omnystudio.com/listener for privacy information.
Sita Navmi ka din Maa Sita ke janm ke roop mein manaya jata hai, Maharishi Valmiki ke Ramayan ke anusaar Sita Mata ka janm Jameen mein gade ek kalash se huaa tha. Iske sath hi Maa Sita ke janam ki kayi Kahaniyan Prachalit hain, par inme se kaun si kahani sach hai? ye hum janange Mere Prabhu Ram ke aaj ke iss episode mein.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
Khud ko Bhagwan Shiv ka sabse bada bhakt bolne wala Ravan aakhir kyun hilane laga Kailash Parvat? Bhagwaan Shiv kaise sikhaya use sabak aur aakhir kaise usne nirmaan kiya kiya Raavan Haatha Vadya Yantra ka? kya hai iske piche ki Kahani? Suniye Mere Prabhu Ram ka ye episode aur janiye Raavan Haatha ka Rahasya.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
Shri Ram ke Param Bhakt Hanuman ji ki prasiddh Hanuman Chalisa kaha likhi gayi thi? Kya suni hai aapne ye kahani? Suniye Mere Prabhu Ram ka ye episode aur janiye Hanuman Chalisa ke peeche ki kahani.
See omnystudio.com/listener for privacy information.
From the publisher's feed
"Mere Prabu Ram" showcases the lesser known stories of Ramayan. There are many versions of the great epic and so we have several incidents that come as a surprise, or as a justification to Ram's…

896 Listeners

0 Listeners

24 Listeners

7 Listeners
![Heal by Quantum [HealbyQ] by Dr Sanjjib Chowwdhury](/_next/image?url=https%3A%2F%2Fpodcast-api-images.s3.amazonaws.com%2Fcorona%2Fshow%2F6047226%2Flogo_300x300.jpeg&w=640&q=75)
0 Listeners