Roohaniyat Urdu Podcast

Naat-e-Rasool: Darbaar-e-Mustufaa ke Kyaa hai.N ghulaam Likhnaa


Listen Later

Poet: Mohammed Gaziuddin Siddiqui "Kamaal"

Hyderabad, India

Darbaar-e-Mustufaa ke, Kyaa hai.N ghulaam Likhnaa

Har Taajwar se oonchaa, inka maqaam Likhnaa


Baad-Az Salaam meraa, Jo hai payaam likhnaa

Maaruza likhnay Waalo, Haal-e-ghulaam likhna


Aamaal-naama meraa, likhnaa toh ai farishto

Sarkaar-e-do Jahaa.N kaa, Adnaa ghulaam likhnaa


Jhukte hain sar wahaa.N par, Jhuktay hain dil yahaa.N par

Rowzay ko bhi nabi kay Baitul-haraam likhnaa


Quraan-e-paak shahid hai, inki azmato.N kaa

Tauseef HuQ ne kii hai, phir kyaa muqaaam Likhnaa


Har ek hai muaddab, Taibaa mein baat kyaa hai

Is shahar ka hai aisaa,  kyon ehtamaam likhna


Aaqa-e-do-Jahaa.N hai Ghurbat-pasand Aaqa

Moonis Ghareeb ke hain, Khair-ul-anaam Likhnaa


Quraan jab hai goya ausaaf-e-mustufaa mei.N

Asaa.N nahin hai, naat-e-khairul-anaam Likhnaa


Duniya se jaanay walaa toh hai Kamaal Lekin

Deedaar-e-Mustufa par hai, Ekhtataam Likhnaa


...more
View all episodesView all episodes
Download on the App Store

Roohaniyat Urdu PodcastBy Roohaniyat Urdu Podcast