Share Subhadutta poetry and stories
Share to email
Share to Facebook
Share to X
By Sri Subhadutta
The podcast currently has 9 episodes available.
The Expressions of a Poet
Khush hain sab wartaman mein
Ya kuch udaas ateet se, Bhayabheet bhi bhavishya se,
Magar mein har raat khwabon mein udta kyun hoon?
Main likhta kyun hoon?
Doob jata hoon kai baar, sochte sochte samundaron mein
Ya daudne lagta hoon, hare hare pahadon ke maidanon mein.
Jhoot acha lagta hai bachhpan se,
Raahat milti hai mujhe kisse kahaniyon se
Magar,
Main Likhta kyun hoon?
Baarishon ko gale lagana acha lagta hai,
Khushiya toh sirf manyi jaati hain,
Magar Gham mein likha jata hai,
Najane ye kaunsi pareshaniyan hain,
Jo lukka chippi khelti rehtin hain mere sath.
Magar,
Main Likhta Kyun hoon?
Najane kaune jazbaaton ka baniya hai mujhme,
Har Shaam Shabon se ehsaason ka hisaab karne baithta hoon,
Jab dil bhar aaye toh kuch gaa leta hoon,
Kuch gunguna leta hoon.
Magar,
Magar,
Main likhta kyun hoon?
A Hindi Poem to fire your will when you are about to quit
The podcast currently has 9 episodes available.