Aaj khola daraaz fir se ek baar, tumhari chhithiyon ka dher mila... sihaahi ka rang kuch halka sa ho gaya hai, dhul jami thi yaadon ki... phoonk maari halki si, aankh hai kuch bhari si... udaas mann ne rakha dher ko ek taraf, toh gir pada wo gulaab ka phool, bilkul sookha sa... daba kuchla sa... hamare sapno ki tarah, jo bune the humne ek sweater ki tarah... wo uun ka gola aaj bhi ussi almari mein ked apne sawaalo se uljha pada hai...