DIL Meri Jaan with Joy G

Yaadein- rishte ka humsafar I Dil Meri Jaan I Joy G I The Relationship Podcast in Hindi


Listen Later

Yaadein


Yeh humari yaadein hi hain jo saye ki tarah humare saath reh jaatein hain. Isi liye shayad zaroori hai ki hum aachi yaadein banaye. Humein woh har koshish karni chahiye jissey ki hum zindagi ko is tarah se jiyein, rishton ko is tarah se nibhayein ki hum acchi yaadein bana sakein. Baad mein yahi humare humsafar bankar reh jaatein hain. Aaiye thoda yaadon ko tavajjo detein hain, yaadon par kuch baatchit kartein hain.    

 

Dil Meri Jaan with Joy G, woh podcast show hai, woh manch hai jahan aap aur main milkar relationships yaani

riston ke baarein mein, jazbaaton ke baarien mein, ehsaason ke baarein mein baatchit karengey, inhe samjhenge, kareeb se jaanenge shero-shayari ki madad se, kavitaon, ghazalon, nazmon aur geeton ki madad se.

 

Is podcast show ka maqsad hi rishton, jazbaaton aur ehsaason ko samajhna aur zindagi ko ek naye andaaz se

dekhne ki koshish karna. Aapke saath milkar ek aisi community banani hai jahan hum ek naye nazariye se rishotn ko dekh sakein aur unhe ek behtareen tareekey se
nibha sakein.

 

Agar aap relationships ke baarein mein, emotions ke baarein, feelings ke baarein mein kuch bhi discuss karna

chahtey hain ya kuch bhi share karna chahte hai to mujhe email zaroor kijiyega, mera email id hai ⁠[email protected]

 

Aur doston agar aap zindagi, relationships, music mein dilchaspi rakhtein hain to kindly mujhse Instagram

par bhi judein, mera Instagram handle hai @dilmerijaanwithjoyg. Main yahan shero-shayri, nazm, ghazal, sangeet ya poetry se zindagi ko dekhne ki, samajhne
ki koshish karta hoon. Aap judhenge toh bahut accha lagega.

 

 

Credits & Other information:

Written and narrated by: Joy G

Music: Pixabay

Poems/Shers/Nazam used: Credit given to individual artists/ writers/creators

Email: ⁠[email protected]

Instagram handle: @dilmerijaanwithjoyg


Disclaimer:

 

Yeh episode meri niji raai hai, rishotn aur ehsaason ke baarein mein meri niji soch hai jo maine zindagi se,

apne tajurbe se aur auron ke rishton ko dekhkar, samajhkar haasil ki hai. Maine poori koshish ki hai ki aap ke samne jo bhi pesh karun woh sahi ho. Agar aapko kuch bhi galat lagey toh kindly mujhse share karein aur main immediately usko
sudharne ki poori koshish karunga! Aur is episode mein maine meri likhi hui kavitaein, shero-shayari, geet, nazam aur ghazal ka allava kisi bhi dusre artist ka ya funkaar ka kuch bhi ullekh kya hai uska maine credit unko diya
hai. Agar usme koi bhi truti hui ho toh main kshamaprarthi hoon! 

...more
View all episodesView all episodes
Download on the App Store

DIL Meri Jaan with Joy GBy Joy G