
Sign up to save your podcasts
Or


Aaj dil ko hum ghumaane nikle
Jaane kis se hum milwaane nikle
Saadagi hamari zara dekhiye
Kaise dil ko aaj samjhaane nikle
Mehakti sada bulbul ki sun kar
Chaman men dil ko behlaane nikle
Chashm e num ka andaz e bayaan aisa
Ke bezaar is dil ko rulaane nikle
Jab veeraani ko paaya har su nigah ne
Phir baharon ko hum paane nikle
Firasatmandon ki mehfil men shaamil huay
Per us anjuman men sab deewaane nikle
‘Sahil’, muqabil khazaan ke hairaan hum
Phir khud ko aayena deekhlaane nikle
All material in this product is the intellectual property
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,
The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com
By Ashok Sawhny 'Sahil'Aaj dil ko hum ghumaane nikle
Jaane kis se hum milwaane nikle
Saadagi hamari zara dekhiye
Kaise dil ko aaj samjhaane nikle
Mehakti sada bulbul ki sun kar
Chaman men dil ko behlaane nikle
Chashm e num ka andaz e bayaan aisa
Ke bezaar is dil ko rulaane nikle
Jab veeraani ko paaya har su nigah ne
Phir baharon ko hum paane nikle
Firasatmandon ki mehfil men shaamil huay
Per us anjuman men sab deewaane nikle
‘Sahil’, muqabil khazaan ke hairaan hum
Phir khud ko aayena deekhlaane nikle
All material in this product is the intellectual property
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that,
The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com