Title - Dil jaleyBy @AshokSawhnySahil. Visuals by - Badar Naaz#ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari Dil jaley to woh raakh hi banta hai,Noor-e-Khuda se woh sanwarta haiChaman mein sair kijiye, ghaur kijiye,Gul se nahin, gulo-o-khaar se woh mehakta haiAisa nahin ke dua sunta nahin hai,Khuda jahaan ka hai, woh sab ki sunta haiDer ho jaaye to usey muaaf keejiye ga,Woh badhti abaadi ka khayaal karta haiKhiltey phoolon ka rawaan darya kabhi,Hafiz hai woh hifaazat karta haiInsaan to bhoola hai usey Sahil,Par jahaan saara us pe marta haiTu to daana hai, vaaiz tu samjha,Kya aftaab ghuroob hota hai ya dhalta haiJisey mukhtasir rakhti hai zindagi Sahil,Woh lamhaat phir kyun nahin ginta hai