Dastan -e- zindagi

Aate Hain Khwaab


Listen Later

Title - Aate Hain Khwaab
By @AshokSawhnySahil.
#ashoksawhnysahil #urdupoetry #shayari
Aate hain khwaab gaahe gaahe neendon mein ab mujhe
Sukoon o chain milta hai sarabon mein ab mujhe
Dil lagta nahin hai ab kahin na kisi shai mein jee mera
Aati hai yaad khizan ki kyon baharon mein ab mujhe
Talaash hai jis chain ki sabko, bazaar us ka to hai nahin
Milte hain jawaab saare yaro, sawalon mein ab mujhe
Jazba e nadamat pinhaan hai isyaan mein, bande
Yeh madawa haasil hai gunahon mein ab mujhe
Takta hun falak ko, mah o anjum ko main har roz
‘Sahil’, ghar miley kaash un sitaron mein ab mujhe

...more
View all episodesView all episodes
Download on the App Store

Dastan -e- zindagiBy Ashok Sawhny 'Sahil'