Constant Dreamer

Constant Dreamer

Download on the App Store

Constant Dreamer episodes

  • Har Koi Dil Ki Hatheli by Ahmad Faraz
    Har Koi Dil Ki Hatheli by Ahmad Faraz
    har koi dil ki hatheli pe hai sahra rakkhe
    kis ko sairab kare wo kise pyasa rakkhe
    umr bhar kaun nibhata hai talluq itna
    ai meri jaan ke dushman tujhe allah rakkhe
    hum ko accha nahin lagta koi hamnam tera
    koi tujh sa ho to phir nam bhi tujh sa rakkhe
    dil bhi pagal hai ki us shaqs se wabasta hai
    jo kisi aur ka hone de na apna rakkhe
    hans na itna bhi faqiron ke akele-pan par
    ja khuda meri tarah tujh ko bhi tanha rakkhe
    ye qanaat hai itaat hai ki chahat hai 'Faraz'
    hum to raazi hain wo jis haal mein jaisa rakkhe
    Poetry by Ahmad Faraz
    Voice over by Nipunn
    Translations from Rekhta
    Audio from YouTube Library
    3 min
  • Ye Kya Ki Sabse Bayaan by Ahmad Faraz
    Ghazal by Ahmad Faraz Sahab
    ye kya ki sab se bayan dil ki haalaten karni
    'faraaz' tujh ko na aain mohabbaten karni
    ye qurb kya hai ki tu samne hai aur hamein
    shumar abhi se judai ki saaten karni
    koi khuda ho ki patthar jise bhi hum chahen
    tamam umr usi ki ibaadaten karni
    sab apne apne qarine se muntazir us ke
    kisi ko shukr kisi ko shikayaten karni
    hum apne dil se hi majbur aur logon ko
    zara si baat pe barpa qayamaten karni
    milen jab un se to mubham si guftugu karna
    phir apne aap se sau sau wazahaten karni
    ye log kaise magar dushmani nibahte hain
    hamein to ras na aain mohabbaten karni
    kabhi 'faraaz' nae mausamon mein ro dena
    kabhi talash purani rifaqaten karni
    Voice - Nipunn
    3 min
  • Aise Chup Hain by Ahmad Faraz
    aise chup hain ki ye manzil bhi kadi ho jaise
    tera milna bhi judai ki ghadi ho jaise
    apne hi saaye se har gam laraz jata hun
    raste mein koi diwar khadi ho jaise
    kitne nadaa hain tere bhulne wale ki tujhe
    yaad karne ke liye umr padi ho jaise
    tere mathe ki shiqan pahle bhi dekhi thi magar
    ye girah ab ke mere dil mein padi ho jaise
    manzilen dur bhi hain manzilen nazdik bhi hain
    apne hi panw mein zanjir padi ho jaise
    aaj dil khol ke roe hain to yun khush hain 'faraaz'
    chand lamhon ki ye rahat bhi badi ho jaise
    By Ahmad Faraz
    Voice over - Nipunn
    2 min
  • Tum mere dukh baant rahi ho by Jaun Elia
    Ghazal by Jaun Elia
    VO by Waqif
    tum mera dukh baant rahi ho, main dil mein sharminda hoon
    apne jhuthe dukh se tum ko kab tak dukh pahochaunga
    tum to wafa mein sar-gardaan ho, shauq mein raqsaan rehti ho
    mujh ko zawaal-e-shauq ka ghum hai, main paagal ho jaunga
    jeet ke mujh ko khush mat hona, main to ek pachhtaawa hoon
    khounga, kudhtaa hi rahunga, paaunga, pachhtaunga
    ehad-e-rafaaqat theek hai lekin, mujh ko aisa lagtaa hai
    tum to mere saath rahogi, main tanha reh jaunga
    shaam ko aksar baithay baithay dil kuchh doobne lagta hai
    tum mujh ko itna mat chaaho, main shaayad mar jaunga
    ishq kisi manzil mein aa kar itna bhi be-fikr na ho
    ab bistar par letunga main, lait-te hi so jaunga
    2 min
  • Hai fasilen utha raha mujhme by Jaun Elia
    Ghazal by Jaun Elia Sahab
    Voice over by Waqif
    hai fasilen utha raha mujh mein
    jaane ye kaun aa raha mujh mein
    'Jaun' mujh ko jila-watan kar ke
    wo mere bin bhala raha mujh mein
    mujh se us ko rahi talash-e-umid
    so bahut din chhupa raha mujh mein
    tha qayamat sukut ka aashob
    hashr sa ek bapa raha mujh mein
    pas-e-parda koi na tha phir bhi
    ek parda khincha raha mujh mein
    mujh mein aa ke gira tha ek zakhmi
    jaane kab tak pada raha mujh mein
    itna khali tha andarun mera
    kuchh dinon to khuda raha mujh mein
    Audio credit:
    Dreams Become Real by Kevin MacLeod
    http://incompetech.com/music/royalty-free/index.html?isrc=USUAN1500027
    Artist: http://incompetech.com/
    2 min
  • Ajnabi shaam by Jaun Elia
    Poet - Jaun Elia
    Voice - Waqif
    Dhund chayi hui hain jhilon par
    Ud rahe hain parind tilon par
    Sab ka ruḳh hai nashemanon ki taraf
    Bastiyon ki taraf banon ki taraf
    Apne gulon ko le ke charvahe
    Sarhadi bastiyon men ja pahunche
    Dil-e-nakam main kahan jaun
    Ajnabi shaam main kahan jaun
    Audio credit:
    Source: http://incompetech.com/music/royalty-free/?keywords=funeral+march+for+brass
    Artist: http://incompetech.com/
    1 min
  • Abke hum bichde by Ahmad Faraz
    Ghazal by Ahmad Faraz
    Voice - Waqif
    ab ke hum bichde to shayad kabhi khwabon mein milen
    jis tarah sukhe hue phul kitabon mein milen
    dhundh ujde hue logon mein wafa ke moti
    ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein milen
    gham-e-duniya bhi gham-e-yar mein shamil kar lo
    nashsha badhta hai sharaben jo sharabon mein milen
    tu khuda hai na mera ishq farishton jaisa
    donon insan hain to kyun itne hijabon mein milen
    aaj hum dar pe khinche gae jin baaton par
    kya ajab kal wo zamane ko nisabon mein milen
    ab na wo main na wo tu hai na wo mazi hai 'faraaz'
    jaise do shakhs tamanna ke sarabon mein milen
    2 min
  • Dukh fasana nahi by Ahmad Faraz
    Ghazal by Ahmad Faraz Sahab
    Voice over by Nipunn
    dukh fasana nahin ki tujh se kahen,
    dil bhi maana nahin ki tujh se kahen
    aaj tak apni bekali ka sabab,
    ḳhud bhi jaana nahin ki tujh se kahen
    be-tarah hal-e-dil hai aur tujh se,
    dostana nahin ki tujh se kahen
    ek tu harf-e-ashna tha magar,
    ab zamana nahin ki tujh se kahen
    qasida ham faqir logon ka,
    ik thikana nahin ki tujh se kahen
    ai ḳhuda dard-e-dil hai baḳhshish-e-dost,
    ab-o-dana nahin ki tujh se kahen
    ab to apna bhi us gali men 'faraz',
    aana jaana nahin ki tujh se kahen
    dukh fasana nahin ki tujh se kahen,
    dil bhi mana nahin ki tujh se kahen
    aaj tak apni bekali ka sabab,
    KHud bhi jaana nahin ki tujh se kahen
    Follow us on Instagram @ https://www.instagram.com/jaunism/
    2 min

About Constant Dreamer

From the publisher's feed

Jaun Elia, Ahmad Faraz, Faiz Ahmad Faiz, Mohsin Naqvi and many more uncountable gems who have given words to our feelings and imaginations, who have made us live and relive those magical moments again and again.