Dastan -e- zindagi

Dard - E- Dil Ka Darma - 1-Maa ki Mamta 2-Noor-e-khuda dil mein hai


Listen Later

Maa ki mamta Aayi yaad jab bhi maa ki 

 

Jee bhar kar hum bhi roye 

 Neend jab aayi udti udti  

 

Haule haule hum bhi soye 

 anokhi mamta maa ki hai 

 

Jaisi bhi ho, maa hi hai 

 Gudda gudiya hum sab uske 

 

 khil khil who hasati hai 

 daant dapat kar suna kar lori 

 

 pariyon se woh milati hai

 jeena mushkil uske bin

 

 yaad uski bohat sataati hai 

 sunn lo bhaiya baat hamari 

 

 maa ki mamta niyaari hai 

 ruth bhi jaaye , phir bhi woh 

 

 pyaar se maanati hai

 dil walo tumhe yaad rahe 

 

 maa ki mamta lasahni hai 

 pi jaati hai aansu apne 

 

 dukh tanha uthati hai

 maa ki jab bhi aayi yaad 

 

 mushkil se phir neend aati hai 

 yaad mein teri ai maa maine

 

 ro kar raat bitai hai 

 maa ki mamta anokhi hai 

 

 “Sahil” bin uske paspaayi hai

...more
View all episodesView all episodes
Download on the App Store

Dastan -e- zindagiBy Ashok Sawhny 'Sahil'