Dastan -e- zindagi

Dard E Dil Ka Darma - Dil Paak ho Jiska - Part -1


Listen Later

Dil Paak Ho Jiska
Sabr ho tahammul ki rihaaish aaj sitaaron mein hain
Rang gulshan ka dekho chand angaaron mein hain
Husn sitaaron mein nahi ab nazaaron mein hai
Luft khazaan mein na ke bahaaron mein hai
Hua karti thi raunaq nasheman mein kabhi
Aaj jalwa bhi dekho deewaron mein hai
Usey rind na kehna dil jis ka ho paak
Pakeezagi bhi dosto ab maikhvaaron mein hai
Jaandaar they log kisi zamaane mein bahut
Aaj jaan to zyada beemaron mein hai
Bikhra kaisa hai 'Sahil" aaj ka yeh insaan
Sukun dil mein nahin rahguzaaron mein hai

...more
View all episodesView all episodes
Download on the App Store

Dastan -e- zindagiBy Ashok Sawhny 'Sahil'