Raat kaali thi to raat bhar jaagte rahe hum
Diye apne khoon se jalate rahe hum
Dil-e-afsurda ko sanwaarte rahe hum
Akhuvat ke, ek-dili ke geet gaate rahe hum
Unke har chot ko sehlaate rahe hum
Marham apne wajood ka lagate rahe hum
Aansu pochhte, cheekho'n ko behlate rahe hum
Sadak par bikhre hausle uthaate rahe hum
Mumkin tha behekna to hoshiyar rahe hum
Maathe par haunsle taake tayyar rahe hum
Munafiq na ho jaayein so bedaar rahe hum
Na-munsib tha jhukna so yun he bezaar rahe hum
Apne tooti phooti khushiyon mein shaad rahenge hum
afsurdagi mein bhi be-dar-o-baam aabad rahenge hum
Sitam-gar ki bediyo mein bhi tab-e-aazad rahenge hum
Tumhari humari zindagi to faani hai, taareekh mein be-miad rahenge hum