A supposedly improved attempt at writing and reciting a Ghazal. Attempt is the driving word here. Duniya ke liye sahib-e-shakhsiyat hoon main
Khud ke liye bas tumhara intezar hoon main
Mere qareeb ab koi aashna, koi baam-o-deewar nahi
Apni barbadiyon ka khud hi sipah-salaar hoon main
Mashvira ye hai ki jitni jaldi ho sake, qula kar loon main
Khud apne takhayuul se aazad hone ko beqarar hoon main
Yun to na hua ki itna chup raha hoon kabhi main
Haan par ab sunne walo'n se zara hoshiyar hoon main
Koi dekhe to zinda-dili ka aabshaar hoon main
Koi haal poochhe to naala-e-dil-fighar hoon main
Teri furqat mein jo raatein bita di hain maine,
Teri aagosh mein ho kar bhi unka talabgar hoon main
Maine kab ke tark kar diye the ishq ke saare muqaam
Haan par is pur-ummeed dil ke aage be-ikhtiyar hoon main
Bohat gehri jadd'ein hain meri, mujhe chhedne ka phir soch lo
Tum agar fusun-o-khiza'n ho to kaif-o-bahar hoon main
Bichhadte waqt usne kaha tha Ishq jaavedani hai
Uska maan rakhne ke liye uske baad ka sab bhoolne ko tayyar hoon main