Rizq ka matlab aksar log sirf maal ya khana samajhte hain, lekin Qur’an mein rizq is se zyada hai. Yeh Allah ki taraf se diya gaya ilm, hamara maal, khana, peena, aur wo ghar bhi hai jismein hum rehte hain. Yeh kuch misaalain hain rizq ki. Is clip ko dekhein taake aap Qur’an se rizq ka asal ma’na samajh saken. Rizq sirf maali ya jismani cheezon tak mehdood nahi, balki zindagi ke har pehlu ka hissa hai.