Dastan -e- zindagi

Jaam o Meena | Poetry By Ashok Sawhny Sahil | Urdu Shayari


Listen Later

Ai rind, jaam o meena hai tera, maikhana nahin
Chund ghariyan, kuchh surur bas, zamana nahin
Sakoot e sumundur dekhiye talatum o tufaan nahin
Rah e junoon hai zindagi roodaad e fasaana nahin
Ik dhadkan hai hayat, isey ghalat na samajhna
Hifazat hai sabaq is ka dil ko tadpaana nahin
Dil naadaan nahin to kya hai kisi aalim ka aashiyan
Firasat ka baatin mein dil to koi paimaana nahin
Mausamon ka dastoor apna hai, waqt ki chaal apni
Zeest koi hisaab nahin, bahaaron ka aana jaana nahin
‘Sahil’, khwab na dekhe to gufatgu nazaaron se kaisi
Amali honey ka matlab to khwabon ko sulana nahin
Website : www.ashoksawhny.com
Youtube https://www.youtube.com/c/ashoksawhnysahil
Instagram: https://www.instagram.com/ashoksawhnysahil/
Facebook : https://www.facebook.com/ashoksawhnypoet
Spotify: Ashok Sawhny Poetry of Life ( English)
https://open.spotify.com/show/1ZtQWYG5RUVHrLGQ5IyvZV
Ashok Sawhny, Dastan -e- Zindagi ( Urdu )
https://open.spotify.com/show/3BoBLzORJi4KqOI2F3IFhi

...more
View all episodesView all episodes
Download on the App Store

Dastan -e- zindagiBy Ashok Sawhny 'Sahil'