
Sign up to save your podcasts
Or


Saqi se guftagu
Jazeerey ke har su to aab hai
Maikade men saqi sharaab hai
Suna hai logon ko kehte huay
Sharaab men shaamil shayad tezaab hai
Jisey puchho kehta hai be hosh hai
Is raah ka naam hi khaana kharab hai
Chal mere saath tujhe le chalun, saqi
Jahan kauser aur mai e naab hai
Aasan na hoga safar yaqinan
Dena hoga zeest ka jo hisaab hai
Zeest ko karna hoga tark zurur
Muntazir hun bol kya jawaab hai
Kya zindagi bani azaab teri
Bola saqi kya zahn tera kharaab hai
Dunya ki chaah men kotahi kyon
‘Sahil’, bata kya dil tera betaab hai
Arre chhord amaan saqi sab khwaab hai
Zindagi ka nasha bhi saraab hai
Note :All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com
By Ashok Sawhny 'Sahil'Saqi se guftagu
Jazeerey ke har su to aab hai
Maikade men saqi sharaab hai
Suna hai logon ko kehte huay
Sharaab men shaamil shayad tezaab hai
Jisey puchho kehta hai be hosh hai
Is raah ka naam hi khaana kharab hai
Chal mere saath tujhe le chalun, saqi
Jahan kauser aur mai e naab hai
Aasan na hoga safar yaqinan
Dena hoga zeest ka jo hisaab hai
Zeest ko karna hoga tark zurur
Muntazir hun bol kya jawaab hai
Kya zindagi bani azaab teri
Bola saqi kya zahn tera kharaab hai
Dunya ki chaah men kotahi kyon
‘Sahil’, bata kya dil tera betaab hai
Arre chhord amaan saqi sab khwaab hai
Zindagi ka nasha bhi saraab hai
Note :All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com