“Woh sirf ek faujhi nahi the, ek misaal the… jinhone Kargil ke jung mein apni jaan dekar desh ki mitti ka karz chukaya.”
Iss pehle episode mein, hum baat karenge Captain Anuj Nayyar ki – ek aise veer jawaan ki kahani, jinhone 1999 ke Kargil Yudh mein dushman ke bunkers udaakar apni team ko jeet dilaayi… lekin khud kabhi wapas nahi aaye.
Unki veerta, unka jazba, aur unka balidaan hamesha humare dilon mein zinda rahega.
Aaiye, milke yaad karein us veer ko… aur seekhein ki asli hero ka matlab kya hota hai.
Veer kabhi marte nahi… woh kahaniyon mein amar ho jaate hain.
Is kahaani ko zaroor suniye… aur ek faujhi ke liye dil se dua kijiye.