Sign up to save your podcastsEmail addressPasswordRegisterOrContinue with GoogleAlready have an account? Log in here.
Bachhon ka man, jitna komal hota hai utna hi Chanchal bhi hota hai, hamesha idher udher bhagta rahta hai. Agar aapko bhi lagta hai ki bachhon ko shant bitha kar gyan ki baat samjhana har din ki ek sam... more
FAQs about Kid's Stories - Bachhon ki Kahaniyan:How many episodes does Kid's Stories - Bachhon ki Kahaniyan have?The podcast currently has 31 episodes available.
November 19, 2024Dhobi aur Uska Budha GadhaEk dhobi ka budha gadha, gaddhe mei gaya gir. Log lage usse dafnane, bas kya tha phir. Gadhe ne dikhai chaturai, mitti pairon se dabayi, aur gaya gaddhe se nikal, bhag khade hue log jab hue asafal.Suniye gadhe ki bahaduri aur chaturai se sabko kaise usne hairan kar diya!https://livebhagwan.com/phathshala.php ...more8minPlay
November 18, 2024Char Dost Aur ShikariChuha, Kaua, Hiran aur Kachhua. In char dosto ne ek saath milkar ek lalchi shikari ko haraya aur dosti ki nishani di.Suniye "Pathshala" ke iss episode mein aur seekhein ki kaise apni sujhbujh se dusro ko haraya jaa sakta hain.https://livebhagwan.com/phathshala.php...more7minPlay
November 18, 2024Baal Ganesh aur Kartikey ki Daud"Kya Aap Jaante Hain Bhagwan Ganesh ki Anokhi Kahani?Ek din, Mata Parvati aur Bhagwan Shiv ne kiya anokhi daud pratiyogita ka aayojan, to baal ganesh aur kartikey ji ka utsah se bhar gaya man. Lekin kya aap jaante hain ki Ganesh ji ne chuhe par sawar hokar divya gyan dikhaaya aur Kartikey ji ko kaise haraya? Suniye iss episode mein!" Suniye iss episode mein!Check kare Livebhagwan website aur kariye sabhi Teerthsthalon ke Live Darshan aur sunte rahiye Pathshala.https://livebhagwan.com/phathshala.php...more7minPlay
October 07, 2024Saanp aur Kauon: Ek Badle ki KahaniKauon ki basti mei ek khatarnak saanp tha aaya, jisne ek ek kar ke kauon ke bachho ko tha khayaBadla lene ko saanp se, kauon ne nikala upay, jisse sahi ho gayi kahavat ki laathi bhi na tute aur saanp bhi mar jaaySuniye "Pathshala" ke iss episode mein aur seekhein ki kaise ekjutta aur chaturai se hum kisi bhi samasya ka samadhan kar sakte hain.https://livebhagwan.com/phathshala.php ...more7minPlay
October 07, 2024Khane ki Lalach: Geedad ka NuksaanEk geedad ki kismat ne usse, dila diye ek sath shikari aur bhainsa, khana tha wo itna, usne socha nahi kabhi jaisa,Lekin geedad ki kismat par laga lalach ka dosh, itna khana dekhkar wo sambhaal na paya hosh.Suniye "Pathshala" ke iss episode mein aur seekhein ki kaise lalach humein nuksaan pahuncha sakti hai....more7minPlay
October 07, 2024Tapasvi Sadhu aur Ghayal ChuhiaEk tapasvi sadhu aur ek ghayal chuhiya, sadhu ne apni shakti se usko kanya banayaPutri to mil gayi usko lekin mool swabhav na badal payaSuniye "Pathshala" ke iss episode mein aur seekhein ki kaise hum apne mool swabhav ko badalne ke prayaas mein bhi apne asli swabhav ko nahin chupa sakte.https://livebhagwan.com/phathshala.php...more8minPlay
October 07, 2024Billi Ki Chalaki: Ek SabakChalak billi ne budhe Giddha ko, apni baato mei fasaya aur pakshiyon ke ghonslon ke paas, apna ghar tha banayaKuchh dino mei hi billi ne apna asli rang dikhaya, kha liye pakshhiyon ke bachhe aur Giddha ko ghar se nikalwayaSuniye"Pathshala" ke iss episode mein aur seekhein ki kaise dhokha aur chalaki se humein bachna chahiye....more8minPlay
October 07, 2024Prahlad ki BhaktiHiranyakashyap tha rakshason ka raja aur putra Vishnu bhakt Prahlad, ek ne chuna ahankar aur adharm ka rasta to dusre ne chuna bhakti marg. Prahlad ki bhakti dekh, bhagwan ne liya Narsinha Avtar, aur divya vardan ke ahankara mei baithe, hiranyakashyap ka kiya sanharSuniye"Pathshala" ke iss episode mein aur seekhein ki kaise bhakti aur vishwas se hum bhi apne lakshya ko prapt kar sakte hain....more8minPlay
October 07, 2024Chatur Khargosh ki JeetJungle ke raja sher ko chadhti thi har din bali, Jisne macha rakhi thi janvaron mei khalbali,Ek chatur khargosh ka jab tha number aaya, to usne sher ko kuch aisa batayaSher kuda kue mei aur phir pachhtaya, khargosh ki chaturayi ne sab jaanwaron ko bachayaSuniye "Pathshala" ke iss episode mein aur seekhein ki kaise chaturayi aur samajhdaari se hum bhi mushkil se nikal sakte hain....more8minPlay
October 07, 2024Sher aur Chuha: Ek Anokhi DostiEk khatarnak sher, jisko tha apni shakti par ghamand aur ek chatur chuha, jisne apni jaan bachane ke liye kar diya sher ko ek vada. Sher maharaj to apne ghamand mei chuhe par haste rahe lekin ek din hua kuch aisa ki chuhe ne bachayi sher ki jaan aur sher ki Nazaro mei badh gayi uski shan.Kya hua tha us din? Kaise chuhe ne sher ki jaan bachayi? Suniye "Pathshala" ke iss episode mein aur seekhein ki kaise hum bhi apne ghamand ko chodkar dusron ki madad kar sakte hain....more7minPlay
FAQs about Kid's Stories - Bachhon ki Kahaniyan:How many episodes does Kid's Stories - Bachhon ki Kahaniyan have?The podcast currently has 31 episodes available.