Dastan -e- zindagi

Kuchh ranj o alam shaadmaani men pinhan hai


Listen Later


Kuchh ranj o alam shaadmaani men pinhan hai 

Aur shab ki zulmat men subh ki kiran ayaan hai


Zaat insan hai meri main chala jaunga 

Ai zamin ke farishto yaan kaun jaavidaan hai


Jab ayena na batlaye to tu hi bata, vaaiz 

Yahan ba safa kaun aur kaun  be imaan hai


Saamne hun tere kya puchhta hai tu munsif 

Mera hi chaak daaman, mera hi girebaan hai


Rota hun, yaad e maazi men kho jaata hun 

Aasudagi men bhi kya ajab gham nihaan hai


Udhaar ke nahin yeh ashk rotey dil ke hain 

Adabi sarqa nahin yeh meri hi zubaan hai


Uth ‘sahil’, khuda dil men hai baatin men jhaank 

Jabeen e niyaaz kyon yeh kis ka aastaan hai


Shaadmaani. Khushi

Zulmat. Andhera

Ayaan. Visible

Aasudagi. Comfort

Adabi sarqa. Plagiarism

Baatin. Within

Jabeen niyaaz. Maatha tekna



Notice: All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written

permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted

via www.ashoksawhny.com

...more
View all episodesView all episodes
Download on the App Store

Dastan -e- zindagiBy Ashok Sawhny 'Sahil'