Sign up to save your podcasts
Or

Kya dogey unhen jalwe, kya dogey shaan o shaukat
Andheron me palnewalon ko savera hi bahot kaafi hai
Kya pilaoge un ko paani kya bujhaoge unki pyaas
Jo peetey hain apne > aansu, woh ranj o gham hi bahot kaafi hai
Mujh ko nahin hai tamanna jannat men huron ki
Teri chashm e maigoon ka jaanam nasha hi bahot kaafi hai
Kartey hain log wuzu aur karte hain woh sajde
Magar, naam rab ka lab per hona hi bahot kaafi hai
Qandeelon ko le kar dhundta hai, ja ba ja tu kya
Baatin men tere, ai insan jab, taskeen hi bahot kaafi hai
‘Sahil” gar karni hai haasil azamat hi tujhe
To phir libaas e inkisaari hi bahot kaafi hai
Chashm e maigoon. Nasheeli aankhen
Wuzu. Ablution
Qandeelon. Lamps
Taskeen. Contentment, aaraam
Mahz. Only
Azamat. Glory.
Libaas e inkisaari. Garment of humility
Notice : All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com
By Ashok Sawhny 'Sahil'Kya dogey unhen jalwe, kya dogey shaan o shaukat