Title -Misl-e-boye Gul / Dard-e-dil ka Darman
Written By @AshokSawhny Sahil
Recited By @Mehran Shah
#urdupoetrystatus #shayari #ashoksawhnysahil
Gul biyabaan mein ik khaar na hua kya
Woh veerana kaho gulzaar na hua kya
Yeh aasi, tera hi bandah hai, khudaya
Phir tere karam ka haqdaar na hua kya
Jis dil mein khud makeen ho khuda
Woh Khuftah insaan, bedaar na hua kya
Mehr rahi hai teri itni mujh par, Maula
Chuka na sakunga, baar na hua kya
Hasratein hoti hain misl-e boye Gul
Sukun na de gar gul, to khaar na hua kya
Rubaru rahe mere soorat jo har aan
Kaho, woh cherah-e-dildar na hua kya
Jabeen pe shikan, lab pe muskaan nahin
Har haal woh dil afgaar na hua kya
Khaak ho jaye nasheman hasraton se jo
Batao, woh ujda mazaar na hua kya
Sarwat nahin, imaan hai, saro samaan mera
‘Sahil’ bata, mein zar daar na hua kya