Kahaaniyon ke nae jharokhe me mere paas hai kuch esa jo aapko thoda dhukhi mehsooos kra sakta hai,
Kuch esa jise soch soch kr aap niraash ho sakte
Or khud ko kos bhi sakte.
Is kahaani me hai, kuch band zarurate, kuch heartbreaks, or sabse khaas mud kr peeche na dekhne ka ढाढस.
To chalie le kr chalte hai aapko- aakhiri panno me.
Ye wo panne haj kitaab ke jo likhe jaana jaroori hai,
Jinhe The End krna zaroori hai,
Jinhe khtm kr sirf bhool jaane ki zaroorat hai.
Ye panne aapke jeevan me kisi bhi mukaam pr aa sakte hai,
Ho sakta hai ki aap us rishte par ho jahaa sirf andhere ke aapko kuch dikhta na ho,
ya un khyaaalo me jinke poore hone ki sambhavnaae hi na ho,
ya kuch ese bebuniyaadi saath ki khwahish jo bas poora hone ka dikhawa karti hai,
Shaayad in kahaaniyon ke aakhiri panne likh dene chahiye na
or me bhi esa hi kuch likhne badh chalaa.
aasan hai? sirf aakhiri baar un aseeemit yaadon ko yaad kar unhe aakhiri baar likhna?
kya aasaan hai, un aakhiri baaton ko yaad kar aakhiri baar un par toot kar ronaa?
kyaa assan hai aap dobara wo aakhiri panaa bhavishya me nahi kholenge?
par fir bhi un aakiri panno ki keemat maano athaah dukh ko ek baar me bahaa dene jaise hi
or me bhi esa hi kuch likhne badh chala
kya ye aakhiri panne gawaah honge mere is safar ka?
kya me inhe mud kr waapas na dekhne ka dhadhas jutaa paaunga
kya hai aakhiri panne, jaan ne ke lie - aapko chalna hoga
mishkaar ke avishkaar ki or