Dastan -e- zindagi

Pal men tola pal men maasha


Listen Later

Pal men tola pal men maasha

Ajab hai yeh insan ajab iska tamasha


Jo aaj hai pur umeed musalsal

Kyon kal usey hai musalsal nirasha


Tishnagi teri ko hua kya aisa

Lab e darya kyon baitha hai tu pyaasa


Aab e hayaat hai is darya ka paani

Raahi, junoon kaisa yeh kaisa nasha


Barhainagi ka yeh hai saara tamasha

Paidaaish se le kar na muraad budhaapa


Qaba hi sambhaalte sambhaalte, vaaiz

Guzra hai waqt, hai hangama yeh kaisa


Le jaati hai qaza libaas hi to ‘sahil’

Jism milta hai khaak se, rooh ka kisey pata


Musalsal. Lagataar

Tishnagi. Pyaas

Lab e darya. Darya kinaarey

Aab e hayaat. Elixir

Barhainagi. Nudity

Qaba. Garment

Vaaiz. Preacher

Qaza. Maut

Libaas. Garment

...more
View all episodesView all episodes
Download on the App Store

Dastan -e- zindagiBy Ashok Sawhny 'Sahil'