Urdu Poetry and Poetics

Recitation: Kerta Nahi Kasur, a ghazal by Mir Taqi Mir


Listen Later

A Ghazal by Mir Taqi Mir
Recitation by Faraz Ali
kartā nahīñ qusūr hamāre halāk meñ
yā-rab ye āsmān bhī mil jaa.e ḳhaak meñ
garmī nahīñ hai ham se vo ai rashk-e-āftāb
ab aa gayā hai farq bahut us tapāk meñ
is Dhang se hilā ki bajā dil nahīñ rahe
us gosh ke guhar se dam aa.e haiñ naak meñ
ab ke junūñ meñ fāsla shāyad na kuchh rahe
dāman ke chaak aur garebāñ ke chaak meñ
kahiye latāfat us tan-e-nāzuk kī 'mīr' kyā
shāyad ye lutf hogā kisū jān-e-pāk meñ
‎کرتا نہیں قصور ہمارے ہلاک میں
‎یا رب یہ آسمان بھی مل جائے خاک میں
‎گرمی نہیں ہے ہم سے وہ اے رشک آفتاب
‎اب آ گیا ہے فرق بہت اس تپاک میں
‎اس ڈھنگ سے ہلا کہ بجا دل نہیں رہے
‎اس گوش کے گہر سے دم آئے ہیں ناک میں
‎اب کے جنوں میں فاصلہ شاید نہ کچھ رہے
‎دامن کے چاک اور گریباں کے چاک میں
‎کہیے لطافت اس تن نازک کی میرؔ کیا
‎شاید یہ لطف ہوگا کسو جان پاک میں
...more
View all episodesView all episodes
Download on the App Store

Urdu Poetry and PoeticsBy Faraz Ali, Zer Zabar Paesh


More shows like Urdu Poetry and Poetics

View all
Urdu Short Stories By Sahil Iqball by sahil iqball

Urdu Short Stories By Sahil Iqball

4 Listeners