Saare Zakhm bhar jaate hain, jab raat ko tu yaad aata hai, Woh sone se pehle ke 10 minute, woh mera time hai. Main usmein teri tasveer haath mein liye, yeh sochta hun ki tu agar yahaan hoti toh hum kya baat karte? Kya mein teri garam saanson ki mehsoos karta, ya fir tere Haathon ko pakad kar bas teri aankhon mein jhaankta aur jaanne ki koshish karta ki kitni mohabbat hain inhein mujhse. Magar, shayad maine der kardi.
Woh kehte hain, ki Ishq sachcha ho toh neendein uda deta hai, aur agar jhootha ho to farebi bana deta hai. Magar yahaan tere khayalon mein Sachcha Ishq karke neendein bhi meri udi aur tere jhoothe ishq mein farebi bhi bana main.