
Sign up to save your podcasts
Or


Yaad khuda ko to bas nida karey hai
Dil ki dhadkan bhi wohi sada karey hai
Jis kaahish ne kiya hai tumhen fida
Wohi ik roz phir tabaah karey hai
Basi ho jaan apni jab dil men kisi ke
Usey phir koi na alheda karey hai
Us raah per na chalna tum kabhi, dosto
Jo maula ki raah se juda karey hai
Rehta hai raushan kor chashm ka dil, per
Kaam sham’a ka to nurul huda karey hai
Sayi, farz hai sab ka shak is men kya
Lekin, faisley to sab khuda karey hai
Khuda se sauda to ‘sahil’ karey hai
Aisa sauda to phir sauda karey hai
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com
By Ashok Sawhny 'Sahil'Yaad khuda ko to bas nida karey hai
Dil ki dhadkan bhi wohi sada karey hai
Jis kaahish ne kiya hai tumhen fida
Wohi ik roz phir tabaah karey hai
Basi ho jaan apni jab dil men kisi ke
Usey phir koi na alheda karey hai
Us raah per na chalna tum kabhi, dosto
Jo maula ki raah se juda karey hai
Rehta hai raushan kor chashm ka dil, per
Kaam sham’a ka to nurul huda karey hai
Sayi, farz hai sab ka shak is men kya
Lekin, faisley to sab khuda karey hai
Khuda se sauda to ‘sahil’ karey hai
Aisa sauda to phir sauda karey hai
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, The author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com