Sign up to save your podcasts
Or

Nukta cheen nahin hai gham e dil, fasurda hai
Yeh chalta phirta insan aaj ka naya murda hai
Har su aaj bambaari hai sunte hain “nuke” ki tayyari hai
Laashon ki shumaari hai, yeh kaisi ajab irtiqa hai
Hindu Muslim Sikh Isayi, dost na koi kisi ka bhai
Insaniyat ka kahin naam nahin, jidhar dekhiye udhar ladayi
Yeh kaisi irtiqa hai, naam taraqqi maqsad khazana
Jahan se miley ghar apne usey pahunchana
Irtiqa nahin vahshat hai, Khuda ko bhula hai insan afsos
Hoshiyaar nahin, saahukaar nahin, koi madhosh, koi be hosh
Yeh kaisi irtiqa hai, jab hasrat bhari har raah hai
Dil men phir iman kya basega, shaitaan ki wah hai
Jeet kis ki haar kis ki , ghalib kaun aayega
Shikast kis ki hogi kab, parcham kaun lehrayega
Yeh kaisi irtiqa hai, koi hamen bhi to samjhaye
Doob gaya hai amn o chain ab darya hi batlayega
Yeh kaisi irtiqa hai, ‘sahil’,sumundur har su ashkon ke
Lahu daurta nahin hai ragon men, rang badle aaj sailaabon ke
Yeh kaisi irtiqa hai
Notice :All material in this product is the intellectual property of Ashok Sawhny and cannot be used in any way without the written
permission of the author Ashok Sawhny. Having said that, the author is always open to proposals and can be contacted
via www.ashoksawhny.com
By Ashok Sawhny 'Sahil'Nukta cheen nahin hai gham e dil, fasurda hai