Dastan -e- zindagi

Zaar Zaar/ Dard-e-dil ka Darman


Listen Later

Rona aaye ‘Sahil’, to zaar zaar aaye
Tufaan aaye kabhi to jandaar aaye
Kaun jaane kis shaakh par kal bahaar aaye
Urta kahan se mere gul par koi khaar aaye
Jungle hai Jahan , haiwaan hain yahan
Kya mumkin hai veeraane mein gulzaar aaye
Samandar ki dost, khaufzadah hai kashti
Be khabar hai, gardaab kinare ya manjhdhar aaye
Yaro, lutf kya nabard ka zindagi se, kaho
Jab talak na ru ba ru, ado shandaar aaye
Fanaa ho jaana fitrat hai zeist ki
Phir tafreeq kya, maut aaye ya rasan o daar aaye
Khizaan ke is daur mein, afsurdah hai dil mera
Andaleeb aaye, khwah mera dildar aaye
Jaam tha, gulfaam tha, sukun na tha saqi magar
Tere maikadah se aaye, to bekraar aaye
Karle mujh se sauda, banale hamsafar
Ai qaza, baad merg mujhe bhi, mukammal qarar aaye
Aasaan hai jeena ‘Sahil’, leta reh nafs tu
Wada nahin hai lekin, ke tujhe qaraar aaye

...more
View all episodesView all episodes
Download on the App Store

Dastan -e- zindagiBy Ashok Sawhny 'Sahil'