Baat karoon to kissey karoon,
Kaise bataoon ki waqt kaisa jaa raha hai
Kaise kahoon ki main udaas hoon
Kissey kahoon ki waqt kya hai
Junoon ae-jazba barkraar hai
Kuch kar guzarney ki himmat bhi beshumar hai
Dil tuta nahin, abhi bhi barkrar hai
Itna to kamzor nahin, ro paaon har ek key saamney,
Jindagi to uthaaegi sawal har mod pey
Dhundhne padenge jawab har wawal key
Itna kamzor nahin ki ruk jaaon har ek sawal pey
Khada hoon main, hamesha atal rahoonga
Zindagi tu pathar phektey jaa, main unhey todta rahunga,
Main badtaa raha hoon, badtaa hee rahoonga,
Dam Hai jismein, rok kar dikhayen,
Main to aage chalta hee rahoonga