
Sign up to save your podcasts
Or


Aaj ki duniya mein insaaniyat to jaise khatam hee hoi gayee hai. Ek insaan doosre insaan ko itna dard, itna dukh kaise de sakta hai?
Paida hote hee humme ek naam, ek dharam aur ek nagarikta de di jaati hai. Aur phir saari zindagi ye humaari pehchaan banne rehte hain. Par kya yeh cheezein hee humaara vajuud hain?
Atam-samaan aur ahankaar ke beech mein rehta hai ahem. Kuch log isse apni takat samajhte hain aur kuch duniya ke kathor shabdon se bachaane waala kavach.
Par kya ahem rakhna zaroori hai? Kya ahem sirf fayeda deta hai?
Zyadatar papa apna pyaar shadon mein zaahir nahi karte. Par iska matlab yeh to nahi ki woh humse pyaar nahi karte.
Kyun hum bache apne papa ko utna galle nahi lagaate jitna maa ko lagaate hain?
Humaare samaajh ke aaj yeh haalaat hain ki zyadatar log ladkon ko insaan kam aur paisa kamaane ka, ghar chalaane ka, auraton aur bachon ko surakshit rakhne ka zariya zyada samajhte hain.
Duniya mein unka mol utna hee hai jitni unki kamaayi – yeh baat unke dil aur dimaag mein kuut kuut kar bhar di jaati hai.
Kitna acha hota agar zindagi ke es lambe safar mein koi aisa mil jaaye jo humaare sapnon ko samjhe, humaari mehatwakanshaon ki izzat karre aur unhe poora karne main humaara saath de.
Insaan ki fitrat mein hee eersha aur jalan hoti hai. Par har insaan ki raah aur kismat alag hoti hai aur doosron ki zindagi mein kya chal raha hai – yeh humme aksar pata bhi nahi hota.
Aksar ghar aur parivaar ki zimmedaariyan nibhaate hue, auratein apne aap ko, apni khud ke astitv ko bhool jaati hain. Shauk, dost, mahatwkanshayein sab peeche choot jaate hain aur aaine mein ek ajnabee ensaan dikhne lagta hai.
Humme bachpan se hee kaamyaabi ki bhi bahut sakri paribhaasha sikhaayi jaati hai – paisa, samaajh mein rutba, peshe se di hui pehchaan. Par kya yeh sahi hai?
Aap andar se khush hain ki nahi, aapki sehat aur aapke rishte durust hain ki nahi aur sabse bada – aap ache insaan hain ki nahi - kya en sab cheezon ki aapki pehchaan se koi lena dena nahi ?
Jeevan ki bhaag daud mein, riskhton ke tanaav mein aur kaam ke dabaav mein hum sabse zyada apne bachpan ke befikr dino ko hee yaad karte hain.
From the publisher's feed