
Sign up to save your podcasts
Or


Bharat mein sabke bachpan ka ek bahot important hissa raha hai panchatantra ki kahaniyon ka. In kahaniyon mein se ek kahani jo bahot logon ki favourite kahani hai woh hai Neele Siyar ki Kahani. Sunni hogi aapne bhi, aaj chaliye ek baar phir sunte hain hum yeh kahani aur saath me apne pyaare baccho ko bhi introduce karwate hai is kahani se.
Hindustan ke lagbag har bacche ki manpasand kahani hoti hai Bhagwan Krishna ki kahaani. Aaj main aap ke liye lekar aa rahi hoon yahi kahaani aur jaanna chaahti hoon aap ko yeh kaisi lagi! Bataiyega zaroor!
Yeh ek kahaani hai jo mujhe aur mere husband ko behad pasand hai. Jitni sundar yeh kahaani hai, usse zyaada sundar is kahaani ka message hai. Toh aaiye aaj main aapke liye le kar ayi hoon Haar Ki Jeet, yeh kahaani Baba Bharti, Sultan aur Daaku Khadak Singh se shuru hoti hai.
Aaj Buddha Purnima ke avsar par chaliye baatcheet karte hai Bhagwan Buddha ke baare mein aur main aap ko sunati hoon unki zindagi ki kahani.
Aaj main aap ko sunane waali hoon ek aur bedtime story jo ki mujhe aaj jab mere saath kitchen kuch hua, toh mujhe yaad aayi. Eklayvya ki kahaani waise toh bahot well known hai but aaj kal log Hindu mythology ko thoda bhool chuke hai.
Aaj main launch kar rahee hoon hamari new series, Bedtime Stories with Roshni! Ummeed hai ki aapko aur aap ke baccho ko yeh series achi lage aur apne comments, likes aur shares se mujhe bataiyega zaroor ki agli story kaunsi ho.
Aaj main ek naya announcement le kar aayi hoon aap ke liye aur aap kee aas paas khelte hue nanhe mune baccho ke liye. Main launch kar rahee hoon ek nayi series - Bedtime Stories with Roshni, suniyega zaroor!
From the publisher's feed