Iss haftay hamari microbiologist aur science communicator Imama, aap ko batain gi Madam Mary Curie kay baaray main, aik aisee hairat angaiz khatoon jinhon nay apni poori zindagi un khatarnaak shuawon, yaani waves, ko study kiya jo humaree dunya kay ird gird hain. Aur tou aur iss kaam kay liye unhain do Nobel Prize bhe milay. Ye science ki dunya ka sab say barra prize hay janab! Dekha doston! Unhon ay saabit kar dia keh larkiyan bhi science main aakhir kisi say kam nahin!