Kal Ki Kahaniyan: World of Indian Folk Stories

Kal Ki Kahaniyan: World of Indian Folk Stories

By Ashtam NeelkanthArtsPerforming Arts
Download on the App Store

Kal Ki Kahaniyan: World of Indian Folk Stories episodes

  • Episode 7 - Chori Milaye Bhagwan (A Bihari Folk Comedy)

    To is baar jo kahani aap se milne aayi hai... wo hai ek halki phulki comedy kahani... jo chal ke aayi hai Bihar ki folk ki duniya se!


    To janna hai ki kaise ek bhole bhaale pandatji bus bhagwaan ko paane ke liye pad jaate hain chori ke chakkar mein...? Kaise badalti hai unki duniya is chakkar mein...? Aur aakhirkaar unhen bhagwan milte hain ki nahin...?


    To sochna kya... play ka button dabaiye aur shuru ho jaiye!

    13 min
  • Episode 6 - Kaise Aayi Kaveri? (A Tamil Legend)

    To aaj, 6th episode mein milne aa rahi aapse ek kahani sudoor dakshin, Tamilnadu se! Wo bhi ek ajab savaal ka javaab le ke - Kaise Aayi Kaveri? Ya yun kahen ki kaise aayi Dakshin Ki Ganga?


    To agar janna hai ki kya hua jab Vindhya parvat ne kar diya aadhi duniya mein andhera? Kisne banayi Tamil bhasha? Aur kya hua aisa ki Indra ko karna pada bhagwaan Palliyar ko yaad? To play ka button dabaiye... aur kho jaiye!


    Podcast follow karna aur saathiyon ko saath share karna mat bhooliyega! Aur rate karna to aap kaise hi bhoologe, hai na?

    12 min
  • Episode 5 - Sonal Bai (Verse Based Marwari Folk Story)

    Ek ladki jiske the sone ke baal... pehle bhi suna hai na kabhi? Disney ki Rapunzel waali kahani mein? To aaj milte hain Marwar ki Rapunzel se... Ya phir wo thi west ki Sonal Bai? Ye to aap sun ke bataiye.

    Is kahani mein aap sunenge chhandon (verses) mein baaten... Jo ki kai folk kahaniyon ko batane ka ek bhaartiya tareeeka!

    To suniye aur bataiye ki kaisi lagi ye Marwari kahani?

    19 min
  • Episode 4 - Self Obsessed Naai (A Bengali Folk Comedy)

    Is baar jo kahaani aapse milne aayi hai wo aa rahi hai Bengal ke ek chhote se gaanv se. Ye kahani aapka manoranjan hi nahi karegi, magar aapko hansaane ki bhi poori koshish.


    To agar janna hai ki kya hota hai jub ek self obsessed (aatm-mugdh) nithalla naai nikal pakadta hai apni maan se padi jhaadi ko dil pe le ke... to kya hota hai... to zaroor suniye, Self Obsessed Naaiz!

    Aur haan! Hansi aayi ya nahin aayi, batana zaroor!

    15 min
  • Episode 3 - Duniya Banne Ki Kahani - II (A Khasi Tribe Folk Story)

    Insaan ko jab savaalon ke javaab nahi mile, usne waha kahani bana di! Aisa hi ek savaal tha - Ye duniya kaise bani?


    Isi savaal ki khoj ko khaniyon ki duniya mein dhoondhte huye, sirf aapke liye is baar aa rahi hai, North East ki pahadiyon se udte huye ek kahani...


    To kaisi bani duniya, ye batayegi aaj hamen Khasi ki pahadiyon se aayi... Khasi tribe ki kahani.


    To taiyaar hain, Khasi ki vaadiyon mein ghoomne ke liye?

    18 min
  • Episode 2 - Duniya Banne Ki Kahani (A Shiv Purana Story)

    Big Bang Theory ne bataya ki duniya ek dhamake se shuru hui... par hamari kahaniyon ne bhi duniya ke banne ke baare mein kai dhamake kiye!

    Koi bhi sanskriti jab kisi savaal ka javaab nahin dhoondh paati, to uske javaab mein kahaani bun leti hai... Aise hi ek gehre savaal ka jab dene ke liye aayi hai aj ek kahaani aaj, wo bhi Shiva Puraan se.

    To sunen... Kahani Duniya Banne Ki?

    14 min
  • Trailer - Kal Ki Kahaniyan (The Amazing World of Indian Folk Stories)

    Kisi ne khoob kaha hai - kahaniyan naa rahen to hum zindagi mein vaise hi bhatak jayenge jaisi ki jungle mein bina raaston ke!

    Isiliye, kuch purani kahaniyon ki nayi khoj ke saath aaya hai - Kal Ki Kahaniyan with Ashtam Neelkanth.

    Ek aisa podcast jahan aap sunenge desh ke alag alag konon se dhoondh ke laayi gayin lok (folk) kahaniyan aur mythological kahaniyan.

    To sunte hain aisi kahaniyan... jo humne nahin banaayin... par jo hamen banaati hain!

    2 min

About Kal Ki Kahaniyan: World of Indian Folk Stories

From the publisher's feed

Kisi ne khoob kaha hai, kahaniyan naa rahen to hum jeevan mein vaise hi bhatak jayenge jaisi ki jungle mein bina raaston ke. Isiliye, kuch purani kahaniyon ki nayi khoj ke saath aaya hai - Kal Ki…