Questions and Answers | سوال اور جواب Archives - Ashabulhadith

Questions and Answers | سوال اور جواب Archives - Ashabulhadith

By
Download on the App Store

Questions and Answers | سوال اور جواب Archives - Ashabulhadith episodes

  • 26100204 – Main deen ki taliba hoon.. Allah ki tawfeeq se shar’i ilm bohat khoobsoorti se hasil kar rahi hoon, bohat se ma’amlaat ki samajh boojh aane lagi hai Alhamdulillah lekin amal mein kotahi ho jati hai yani huqooq ul ibaad ke hawale se aur phir faw






    More
    • The post 26100204 – Main deen ki taliba hoon.. Allah ki tawfeeq se shar’i ilm bohat khoobsoorti se hasil kar rahi hoon, bohat se ma’amlaat ki samajh boojh aane lagi hai Alhamdulillah lekin amal mein kotahi ho jati hai yani huqooq ul ibaad ke hawale se aur phir fawri tor par dil ghamzada ho jata hai phir se sab shuru karti hoon. Muhtaram main amal mein kis tarah mukammal ho paongi aur aakhir kab? Dil har waqt isi gham mein mubtala hai ke ilm ka haq ada nahi kar pa rahi hoon? appeared first on Ashabulhadith.

      1 min
    • 26100203 – Main ek online kapron ka karobar chalata hun, online kapre bechne ke liye main haqiqi logon ki tasaveer ka istemal nahi karta balkay libas ko zahir karne ke liye buton ki tasveer ka istemal karta hun jaisa ke aap tasveer mein dekh rahe hain. Ky






      More
      • The post 26100203 – Main ek online kapron ka karobar chalata hun, online kapre bechne ke liye main haqiqi logon ki tasaveer ka istemal nahi karta balkay libas ko zahir karne ke liye buton ki tasveer ka istemal karta hun jaisa ke aap tasveer mein dekh rahe hain. Kya aisa karna durust hai kyunke is ke ilawa mujhe koi aur munasib tariqa samajh nahi aa raha taake main asli model ya insanon ki tasveeron ke istemal se bach sakun. appeared first on Ashabulhadith.

        1 min
      • 26092504 – Kitaab Muqaddimah Ibn Abi Zayd al-Qayrawani chauthi sadi mein likhi gayi, jo us zamaane ke fitno ke radd mein thi. To hum ye kitaab aaj kyun parh rahe hain? Aaj ke zamaane ke fitno ko khatam karne ke liye aisi kitaabein kyun nahin aa rahi hain






        More
        • The post 26092504 – Kitaab Muqaddimah Ibn Abi Zayd al-Qayrawani chauthi sadi mein likhi gayi, jo us zamaane ke fitno ke radd mein thi. To hum ye kitaab aaj kyun parh rahe hain? Aaj ke zamaane ke fitno ko khatam karne ke liye aisi kitaabein kyun nahin aa rahi hain? Ye kitaabein kyun nahin parhai ja rahi hain? appeared first on Ashabulhadith.

          11 min
        • 26092503 – Al-Qantarah, “Muflis Kaun” Wali Hadees Aur Huqooq-Allah Aur Huqooq-ul-Ibaad Ke Baare Mein Chand Aham Ishkaalaat Ki Wazahat

          • عقیدہ واسطیہ میں ہم نے پڑھا کہ اللہ تعالی پل صراط کے بعد القنطرہ پر روک کر دلوں کی صفائی کریں گے.”و نزعنا ما في صدورهم من غل”۔ میری سمجھ میں یہ آیا تھا کہ یہ صرف دلوں سے کدورت نکالنے کے لیے ہے جبکہ قصاص تو پہلے ہو چکا ہے لیکن بعض لوگ “مفلس کون” والی حدیث کو یہاں لگاتے ہیں اور کہہ رہے ہیں کہ مفلس وہ ہوگا جو القنطرہ سے واپس جہنم میں بھیج دیا جائے گا۔ پلیز اس کو واضح کر دیں۔
          اور دوسری بات جو میری سمجھ میں آئی ہے وہ یہ ہے کہ اللہ تعالی موحد کی طرف سے ضامن ہوں گے، جس کے لیے چاہیں گے اور اس سے جو دوسروں کے حقوق میں کوتاہی ہوئی ہے اللہ تعالی مظلوم کو اپنی طرف سے نعمتوں سے خوش کر دیں گے اور ادھر موحد کو بھی معاف کر دیں گے اگر اللہ تعالی چاہیں گے۔ پلیز بتائیے گا کیا یہ صحیح سمجھ ہے میری؟
          میری اپنی فیملی میں بھی لوگ صرف حقوق العباد کی بات کرتے ہیں کہ اللہ تعالی اپنے حقوق تو معاف کر دے گا اور بندوں کے حقوق معاف نہیں کرے گا تو اس لیے سمجھتے ہیں کہ نماز روزہ بہت ضروری نہیں ہے۔

          • Aqeedah Wasitiyyah mein hum ne parha ke Allah Ta‘ala Pul-Siraat ke baad Al-Qantarah par rok kar dilon ki safai karenge. “Wa naza‘naa maa fee sudoorihim min ghillin.” Meri samajh mein yeh aaya tha ke yeh sirf dilon se kadoorat nikaalne ke liye hai jabke qisaas to pehle ho chuka hai lekin baaz log “Muflis kaun” wali hadees ko yahan lagaate hain aur keh rahe hain ke muflis woh hoga jo Al-Qantarah se waapas Jahannam mein bhej diya jaayega. Please is ko wazeh kar dein.
          Aur doosri baat jo meri samajh mein aayi hai woh yeh hai ke Allah Ta‘ala Muwahhid ki taraf se zaamin honge, jis ke liye chahenge aur us se jo doosron ke huqooq mein kotahi hui hai Allah Ta‘ala mazloom ko apni taraf se nematon se khush kar denge aur idhar Muwahhid ko bhi maaf kar denge agar Allah Ta‘ala chaahenge. Please bataiye ga kya yeh sahi samajh hai meri?
          Meri apni family mein bhi log sirf Huqooq-ul-Ibaad ki baat karte hain ke Allah Ta‘ala apne huqooq to maaf kar dega aur bandon ke huqooq maaf nahin karega to is liye samajhte hain ke namaz roza bahut zaroori nahin hai.




          More
          • The post 26092503 – Al-Qantarah, “Muflis Kaun” Wali Hadees Aur Huqooq-Allah Aur Huqooq-ul-Ibaad Ke Baare Mein Chand Aham Ishkaalaat Ki Wazahat appeared first on Ashabulhadith.

            3 min
          • 26092501 – Kya aisi jagah namaz parhna durust hai jahan tasveer lagi hon?

            • میں ایک گورنمنٹ ٹیچر ہوں، الحمدللہ اسکول کی ٹائمنگ کے مطابق میں ظہر اور عصر کی نماز اسکول میں ہی ادا کر لیتی ہوں، لیکن کچھ دن پہلے میرے کلاس روم میں ایک بینر لگا دی گئی ہے جس میں کچھ اساتذہ کی تصاویر ہے، کیا ایسی جگہ نمازیں پڑھنا درست ہے جہاں تصویر ہے۔ اور نماز پڑھنے کی واحد جگہ میرا کلاس روم ہی ہے، پھر ایسی سورت میں میں کیا کروں؟

            • Main ek government teacher hoon, Alhamdulillah school ki timing ke mutabiq main Zuhr aur Asr ki namaz school mein hi ada kar leti hoon, lekin kuch din pehle mere classroom mein ek banner laga di gayi hai jis mein kuch asatiza ki tasaveer hain. Kya aisi jagah namaz parhna durust hai jahan tasveer hai? Aur namaz parhne ki wahid jagah mera classroom hi hai, phir aisi surat mein main kya karoon?




            More
            • The post 26092501 – Kya aisi jagah namaz parhna durust hai jahan tasveer lagi hon? appeared first on Ashabulhadith.

              1 min
            • 26091804 – Nifaas ke ghusl ka masnoon tareeqa

              • شیخ صاحب ہمارے یہاں نفاس کے غسل کے تعلق سے ایک مسئلہ ہے۔ یہاں پر عورت جو نفاس کا غسل لیتی ہے وہ کچھ اس طرح ہے کہ پہلے وہ حیض کا غسل لیتی ہے پھر اور جنابت کا غسل لیتی ہے اور پھر نفاس کا غسل لیتی ہے وہ بھی اپنے بچے کو ساتھ میں لے کر اس پر ایک لوٹا پانی ڈالتی ہے۔ یہ غسل میں کچھ دعائیں بھی پڑھی جاتی ہیں۔
              برائے مہربانی اس پر وضاحت کرے اور نفاس کے غسل کا مسنون طریقہ بھی بتائے تاکہ ہم یہ آڈیو ان بہنوں کو شیئر کر سکیں۔

              • Sheikh sahib hamare yahan nifaas ke ghusl ke ta’alluq se ek masla hai. Yahan par aurat jo nifaas ka ghusl leti hai woh kuch is tarah hai ke pehle woh haiz ka ghusl leti hai, phir aur janaabat ka ghusl leti hai, aur phir nifaas ka ghusl leti hai. Woh bhi apne bachche ko saath mein lekar us par ek lota paani daalti hai. Is ghusl mein kuch duaein bhi padhi jaati hain.
              Baraye meherbani is par wazahat karein aur nifaas ke ghusl ka masnoon tareeqa bhi batayein, taake hum yeh audio un behnon ko share kar saken.




              More
              • The post 26091804 – Nifaas ke ghusl ka masnoon tareeqa appeared first on Ashabulhadith.

                1 min