Wo humsafar tha magar us se humnawaai na thi
Ki dhoop chhanw ka aalam raha judaai na thi
Na apna ranj na auron ka dukh, na tera malaal
Shab-e-firaq kabhi humne yoon ganwaai na thi
Mohabbaton ka safar is tarah bhi guzra tha
Shikasta-dil the musafir shikasta-paai na thi
Adawatein thi, tagaful tha, ranjishein thi bahut
bichhadne wale mein sab kuch tha, bewafaai na thi
Bichhadte waqt un aankhon mein thi humari ghazal
Ghazal bhi wo jo kisi ko abhi sunaai na thi
Kise pukar raha tha wo dubta hua din
Sada to aayi thi lekin koi duhaai na thi
Kabhi ye haal ki donon mein yak-dili thi bahut
Kabhi ye marhala jaise ki aashnaai na thi
Ajeeb hoti hai raah-e-sukhan bhi dekh ‘Naseer’
Wahan bhi aa gaye aakhir, jahan rasaai na thi.
– Naseer Turabi