Jab usne mere laakhon calls ko ignore kiya, har unanswered call pe mere dil mein ek daraar aati thi. Unn daraaron ko aaj bhi dusro ke calls na uthaake bharne ki koshish karta hu..
Ye baat unn dino ki hai jab mere bachpane aur jawaani ki mulaqat hui thi, sawaal baht hua karte the uss umar mein aur unn vichitra sawaalon ke jawaab dhundne ke chakkar main kabhi kabhi ajeebon gareeb chakkaron mein padd jaata tha.