‘IZ 31Har chíz ká ek mauqa‘, aur har kám ká, jo ásmán ke níche hotá hai, ek waqt hai.AMSÁL 161Dil kí tadbíreṉ insán se haiṉ:Lekin zabán ká jawáb ḲHUDÁWAND kí taraf se hai.2Insán kí nazar meṉ us kí sab rawisheṉ pák haiṉ:Lekin ḲHUDÁWAND rúhoṉ ko jáṉchtá hai.3Apne sab kám ḲHUDÁWAND par chhoṛ de,To tere iráde qáim raheṉge.4 ḲHUDÁWAND ne har ek chíz ḳháss maqsad ke liye banáí;Háṉ, sharíroṉ ko bhí us ne bure din ke liye banáyá.AIYÚB 42: 2Maiṉ jántá huṉ, ki tú sab kuchh kar saktá hai,Aur terá koí iráda ruk nahíṉ saktá.AMSÁL 19: 21Ádmí ke dil meṉ bahut se mansúbe haiṉ;Lekin sirf ḲHUDÁWAND ká iráda hí qáim rahegá.ʻIBRÁ NÍOṈ 6: 13Chunáṉchi jab Ḳhudá ne Ibráhím se waʻda karte waqt qasam kháne ke wáste kisí ko apne se baṛá na páyá, to apní hí qasam khákar 14kahá, ki Yaqínan main tujhe barakatoṉ par barakateṉ baḳhshúṉgá, aur terí aulád ko bahut baṛháúṉgá. 15Aur is tarah sabr karke us ne waʻda kí húí chíz ko hásil kiyá. 16Ádmí to apne se baṛe kí qasam kháyá karte haiṉ, aur un ke har qaziye ká áḳhirí subút qasam se hotá hai. 17Is liye jab Ḳhudá ne cháhá, ki wáʻde ke wárisoṉ par âur bhí sáf taur se záhir kare, ki merá iráda badal nahíṉ saktá, to qasam ko darmiyán meṉ láyá: 18tá-ki do betabdíl chízoṉ ke báʻis, jin ke báre meṉ Ḳhudá ká jhúṭh bolná mumkin nahíṉ, hamárí puḳhta taur se diljamʻí ho jáe, jo panáh lene ko is liye dauṛe haiṉ, ki us ummed ko, jo sámne rakkhí húí hai, qabze meṉ láeṉ; 19wuh hamárí ján ká aisá langar hai, jo sábit aur qáim rahtá hai, aur parde ke andar tak bhí pahuṉchtá hai; 20jaháṉ Yisúʻ hamesha ke liye Malik i Sidq ke taríqe ká sardár káhin bankar, hamárí ḳhátir peshrau ke taur par dáḳhil húá hai.2 KURINTHÍOṈ 1: 20kyúṉki Ḳhudá ke jitne waʻde haiṉ, wuh sab us meṉ háṉ ke sáth haiṉ; isí liye is ke zaríʻe se Ámín bhí húí, táki hamáre wasíle se Ḳhudá ká jalál záhir ho. 21Aur jo ham ko tumháre sáth Masíh meṉ qáim kartá hai, aur jis ne ham ko masah kiyá, wuh Ḳhudá hai; 22jis ne ham par muhr bhí kí, aur baiʻáne meṉ Rúh ko hamáre diloṉ meṉ diyá.TO JO ALAG AJJ MUSA KI SHARIAT KE WASILE KHUDA KE ARAM MEN DAKHIL HUNE KI KOSHISH KAR RAHENWUH GALAT KOHSIH KAR RAHEN HAINKYU KI KHUDA NE apne g̣azab meṉ qasam kháí,ZABÚR 95: 11Chunáṉchi maiṉ ne apne g̣azab meṉ qasam kháí,Ki Yih log mere árám meṉ dáḳhil na hoṉge.ʻIBRÁ NÍOṈ 4: 2Kyúṉki hameṉ bhí un hí kí tarah ḳhushḳhabarí sunáí gayí. Lekin sune húe kalám ne un ko is liye kuchh fáida na diyá, ki sunnewáloṉ ke diloṉ meṉ ímán ke sáth na baiṭhá. 3Aur ham jo ímán láe, us árám meṉ dáḳhil hote haiṉ,Galatíoṉ 3:12 (URDR55)aur sharíʻat ko ímán se kuchh wásta nahíṉʻIBRÁ NÍOṈ 3: Pas jis tarah ki Rúhuʼl Quds farmátá hai,Agar áj tum us kí áwáz suno,8To apne diloṉ ko saḳht na karo, jis tarah ki gussa diláne ke waqtÁzmáish ke din jangal meṉ kiyá thá;9Jaháṉ tumháre bápdádá ne mujhe jáṉchá aur ázmáyá,Aur chálís baras tak mere kám dekhe.10Isí liye maiṉ us pusht se náráz húá,Aur kahá, ki In ke dil hamesha gumráh hote rahte haiṉ;Aur inhoṉ ne merí ráhoṉ ko nahíṉ pahcháná;11Chunáṉchi maiṉ ne apne gazab meṉ qasam kháí,Ki yih mere árám meṉ dáḳhil na hone páeṉge.'aur bagair ímán ke us ko pasand áná námumkin hai: is liye ki Ḳhudá ke pás ánewále ko ímán láná cháhiye, ki wuh maujúd hai, aur apne táliboṉ ko badla detá hai. '