लहरों से डर कर नौका पार नहीं होती
कोशिश करने वालों की हार नहीं होती
Sohan Lal Dwivedi ji ki yeh inspring kavita humein prerit karti hai humesha koshish karte rehne ke liye. Fir chahe zindagi ki koi manzil ho ya fir humare rishte. Yeh koshishein hi hai jo humein
kamyaab banati hain. Manzil tak pahuchati bhi hai aur rishton ko bhi sanwartein hain.
Rishton ko banane ke liye, unhe nibhane ke liye, koshishon ki jitni ahmiyat hoti hai utni shayad hi kisi aur ki. Yeh humari koshishein hi hain jisse hum galatfehmiyaan mitate hain, apni galtiyon ka izhaar karte hain, dusron ki galtiyon ko maaf karte hain. Yeh
lagatar koshishon ka hi natija hota hai ki rishton ki umr lambi hoti hai.
Kya aap koshish ko ek mauka denge? Jab kabhi aapko “Give-up” kar dene ka mann kare, kya aap ek baar aakhri koshish karenge?
Is podcast episode mein chaliye Koshishon ke bare mein baatcheet karte hain.
Agar aapko yeh episode pasand aaya ho to aap please isey like, rate aur share kar lijiyga aur channel ko follow aur subscribe bhi kar lijiyega. Mujhe issey kaafi prerna milegi aur main aapka
Dil Meri Jaan with Joy G, woh podcast show hai, woh manch hai jahan aap aur main milkar relationships yaani riston ke baarein mein, jazbaaton ke baarien mein, ehsaason ke baarein mein
baatchit karengey, inhe samjhenge, kareeb se jaanenge shero-shayari ki madad se, kavitaon, ghazalon, nazmon aur geeton ki madad se, philosophers ki madad se.
Is podcast show ka maqsad hi rishton, jazbaaton aur ehsaason ko samajhna hai aur zindagi ko ek naye andaaz se dekhne ki koshish karna hai. Aapke saath milkar ek aisi community banani hai
jahan hum ek naye nazariye se rishotn ko dekh sakein aur unhe ek behtareen tareekey se nibha sakein.
Agar aap relationships ke baarein mein, emotions ke baarein, feelings ke baarein mein kuch bhi discuss karna chahtey hain ya kuch bhi share karna chahte hai to mujhe email zaroor kijiyega,
mera email id hai
[email protected] Aur doston agar aap zindagi, relationships, music mein dilchaspi rakhtein hain to kindly mujhse Instagram par bhi judein, mera Instagram handle hai @dilmerijaanwithjoyg. Main yahan shero-shayri, nazm, ghazal, sangeet ya poetry se zindagi ko dekhne ki,
samajhne ki koshish karta hoon. Aap judhenge toh bahut accha lagega.
Credits & Other information:
Written and narrated by: Joy G
Poems/Shers/Nazam used: Credit given to individual artists/
Email: [email protected]
Instagram handle: @dilmerijaanwithjoyg
Yeh episode meri niji raaye hai, rishton aur ehsaason ke baarein mein meri niji soch hai jo maine zindagi se, apne tajurbe se aur auron ke rishton ko dekhkar, samajhkar haasil ki hai. Maine
poori koshish ki hai ki aap ke samne jo bhi pesh karun woh sahi ho. Agar aapko kuch bhi galat lagey toh kindly mujhse share karein aur main immediately usko sudharne ki poori koshish karunga! Aur is episode mein maine meri likhi hui kavitaein, shero-shayari, geet, nazam aur ghazal ka allava kisi bhi dusre
artist ka ya funkaar ka kuch bhi ullekh kya hai uska maine credit unko diya hai. Agar usme koi bhi truti hui ho toh main kshamaprarthi hoon!