Kuch irade jodhey theye bachpan se maine
gullak mein unko sambhaaley rakha tha
Mujhe lagta tha yeh beshkeemti asharfiyaan hain
Badhi der baad jaana main kitna galat tha
Log sabhi kuch ko anjaam se tolne lage theye
Haarne wala jaahil aur jeetne wala khuda tha
Niyat ki ab koi sunwaai nahi thi
Kathghade mein woh bebaak khada tha
- Joy G
Kya Niyat huamri woh anmol dost hai jisko hum humesha taken for granted letein hain?
Niyat aur results ke beech hum humesha results ko hi kyun importance detein hain?
Aaiye is khaas episode mein Niyat ko thoda kareeb se samajhte hain, ho sakta hai yeh understanding humari zindagi ka rukh hi badal de!
Agar aapko yeh episode pasand aaya ho to aap please isey like, rate aur share kar lijiyga aur channel ko follow aur subscribe bhi kar lijiyega. Mujhe issey kaafi prerna milegi aur main aapka bahut aabhari rahunga.
Dil Meri Jaan with Joy G, woh podcast show hai, woh manch hai jahan aap aur main milkar relationships yaani riston ke baarein mein, jazbaaton ke baarien mein, ehsaason ke baarein mein baatchit karengey, inhe samjhenge, kareeb se jaanenge shero-shayari ki madad se, kavitaon, ghazalon, nazmon aur geeton ki madad se, philosophers ki madad se.
Is podcast show ka maqsad hi rishton, jazbaaton aur ehsaason ko samajhna hai aur zindagi ko ek naye andaaz
se dekhne ki koshish karna hai. Aapke saath milkar ek aisi community banani hai jahan hum ek naye nazariye se rishotn ko dekh sakein aur unhe ek behtareen tareekey se nibha sakein.
Agar aap relationships ke baarein mein, emotions ke baarein, feelings ke baarein mein kuch bhi discuss karna
chahtey hain ya kuch bhi share karna chahte hai to mujhe email zaroor kijiyega, mera email id hai
[email protected]Aur doston agar aap zindagi, relationships, music mein dilchaspi rakhtein hain to kindly mujhse Instagram par bhi judein, mera Instagram handle hai @dilmerijaanwithjoyg. Main yahan shero-shayri, nazm, ghazal, sangeet ya poetry se zindagi ko dekhne ki, samajhne ki koshish karta hoon. Aap judhenge toh bahut accha lagega.
Credits & Other information:
Written and narrated by: Joy G
Poems/Shers/Nazam used: Credit given to individual artists/ writers/creators
Email: [email protected]
Instagram handle: @dilmerijaanwithjoyg
Yeh episode meri niji raai hai, rishton aur ehsaason ke baarein mein meri niji soch hai jo maine zindagi se,
apne tajurbe se aur auron ke rishton ko dekhkar, samajhkar haasil ki hai. Maine poori koshish ki hai ki aap ke samne jo bhi pesh karun woh sahi ho. Agar aapko
kuch bhi galat lagey toh kindly mujhse share karein aur main immediately usko sudharne ki poori koshish karunga! Aur is episode mein maine meri likhi hui kavitaein, shero-shayari, geet, nazam aur ghazal ka allava kisi bhi dusre
artist ka ya funkaar ka kuch bhi ullekh kya hai uska maine credit unko diya hai. Agar usme koi bhi truti hui ho toh main kshamaprarthi hoon!