Kabhi kabhi main sochta hoon
agar tum saath hotein toh kya baat hoti
Hazaron aise lamhe hote
Jinhe jeene ki ek aas hoti
agar tum saath hotein toh kya baat hoti
Par zindagi ke safar mein
kuch lamhe mujhe se kahin kho gaye
kuch bichad kar yunhi toot gaye
Ab aksar yunhi baithe sochta hoon
gar keh paya hota usdin apne dil ki baat tumse,
sirf khushiya mere jholi mein hoti
Kabhi kabhi main sochta hoon
agar tum saath hotein toh kya baat hoti
- Joy G
Kyun hum afsos bhari zindagi jeete hain? Kyun regrets humari zindagi ka ek aham ehsaas ban jata hai Kya kiya jaye ki hum afsos ke guilt se ubhar sakein?
Aaiye is khaas episode mein Afsos ki duniya mein jhaankte hain. Afsos ko nazdeek se jaante hain.
Agar aapko yeh episode pasand aaya ho to aap please isey like, rate aur share kar lijiyga aur channel ko follow
aur subscribe bhi kar lijiyega. Mujhe issey kaafi prerna milegi aur main aapka bahut aabhari rahunga.
Dil Meri Jaan with Joy G, woh podcast show hai, woh manch hai jahan aap aur main milkar relationships yaani riston ke baarein mein, jazbaaton ke baarien mein, ehsaason ke baarein mein baatchit karengey, inhe samjhenge, kareeb se jaanenge shero-shayari ki madad se, kavitaon, ghazalon, nazmon aur geeton ki madad se, philosophers ki madad se.
Is podcast show ka maqsad hi rishton, jazbaaton aur ehsaason ko samajhna hai aur zindagi ko ek naye andaaz
se dekhne ki koshish karna hai. Aapke saath milkar ek aisi community banani hai jahan hum ek naye nazariye se rishotn ko dekh sakein aur unhe ek behtareen tareekey se nibha sakein.
Agar aap relationships ke baarein mein, emotions ke baarein, feelings ke baarein mein kuch bhi discuss karna
chahtey hain ya kuch bhi share karna chahte hai to mujhe email zaroor kijiyega, mera email id hai
[email protected]Aur doston agar aap zindagi, relationships, music mein dilchaspi rakhtein hain to kindly mujhse Instagram
par bhi judein, mera Instagram handle hai @dilmerijaanwithjoyg. Main yahan shero-shayri, nazm, ghazal, sangeet ya poetry se zindagi ko dekhne ki,
samajhne ki koshish karta hoon. Aap judhenge toh bahut accha lagega.
Credits & Other information:
Written and narrated by: Joy G
Poems/Shers/Nazam used: Credit given to individual artists/ writers/creators
Email: [email protected]
Instagram handle: @dilmerijaanwithjoyg
Yeh episode meri niji raai hai, rishton aur ehsaason ke baarein mein meri niji soch hai jo maine zindagi se,
apne tajurbe se aur auron ke rishton ko dekhkar, samajhkar haasil ki hai. Maine poori koshish ki hai ki aap ke samne jo bhi pesh karun woh sahi ho. Agar aapko
kuch bhi galat lagey toh kindly mujhse share karein aur main immediately usko sudharne ki poori koshish karunga! Aur is episode mein maine meri likhi hui kavitaein, shero-shayari, geet, nazam aur ghazal ka allava kisi bhi dusre
artist ka ya funkaar ka kuch bhi ullekh kya hai uska maine credit unko diya hai. Agar usme koi bhi truti hui ho toh main kshamaprarthi hoon!