Friends TV show ke mashoor kirdar Matthew Perry ab humare beech nahi rahe. Friends TV show mein Chandler Bing ka kirdar nibane ke liye poore vishv mein mashoor theye Matthew Perry. Unki aur Joey ki dosti ek misaal jaisi thi. Aur is episode mein is khoobsurat rishte Dosti ke baarein mein thodi baatchit karenge.
Chandler aur Joeuy jaisi dosti kaisi hoti hai, kyun banti hai thoda nazdeek se janney ki koshish karengey. Dosti jaise ek behad khaas rishte ki theh tak jayenge aur thoda samjhenge humari khud ki dosti ke baarein mein.
Dil Meri Jaan with Joy G, woh podcast show hai, woh manch hai jahan aap aur main milkar relationships yaani riston ke baarein mein, jazbaaton ke baarien mein, ehsaason ke baarein mein
baatchit karengey, inhe samjhenge, kareeb se jaanenge shero-shayari ki madad se, kavitaon, ghazalon, nazmon aur geeton ki madad se, philosophers ki madad se.
Is podcast show ka maqsad hi rishton, jazbaaton aur ehsaason ko samajhna hai aur zindagi ko ek naye andaaz se dekhne ki koshish karna hai. Aapke saath milkar ek aisi community banani hai
jahan hum ek naye nazariye se rishotn ko dekh sakein aur unhe ek behtareen tareekey se nibha sakein.
Agar aap relationships ke baarein mein, emotions ke baarein, feelings ke baarein mein kuch bhi discuss karna chahtey hain ya kuch bhi share karna chahte hai to mujhe email zaroor kijiyega,
mera email id hai
[email protected]Aur doston agar aap zindagi, relationships, music mein dilchaspi rakhtein hain to kindly mujhse Instagram par bhi judein, mera Instagram handle hai @dilmerijaanwithjoyg. Main yahan shero-shayri, nazm, ghazal, sangeet ya poetry se zindagi ko dekhne ki,
samajhne ki koshish karta hoon. Aap judhenge toh bahut accha lagega.
Credits & Other information:
Written and narrated by: Joy G
Poems/Shers/Nazam used: Credit given to individual artists/ writers/creators
Email: [email protected]
Instagram handle: @dilmerijaanwithjoyg
Yeh episode meri niji raai hai, rishotn aur ehsaason ke baarein mein meri niji soch hai jo maine zindagi se, apne tajurbe se aur auron ke rishton ko dekhkar, samajhkar haasil ki hai. Maine
poori koshish ki hai ki aap ke samne jo bhi pesh karun woh sahi ho. Agar aapko kuch bhi galat lagey toh kindly mujhse share karein aur main immediately usko sudharne ki poori koshish karunga! Aur is episode mein maine meri likhi hui kavitaein, shero-shayari, geet, nazam aur ghazal ka allava kisi bhi dusre
artist ka ya funkaar ka kuch bhi ullekh kya hai uska maine credit unko diya hai. Agar usme koi bhi truti hui ho toh main kshamaprarthi hoon!