GreatGrandGhazals(G3)- Alfiya Sheikh

GreatGrandGhazals(G3)- Alfiya Sheikh

By Alfiya sheikhArtsPerforming Arts
Download on the App Store

GreatGrandGhazals(G3)- Alfiya Sheikh episodes

  • Tum Ho - Ahmed Faraz
    Open for your feedback click on https://mobile.twitter.com/Alfiya__Sheikh Jis Samt bhi Dekhu nazar atta hai ki tum ho. ye umr-e-gurezāñ kahīñ Thahre to ye jānūñ
    har saañs meñ mujh ko yahī lagtā hai ki tum ho - Ahmed Faraz.
    2 min
  • Kisse Kahun
    Bahadur Shah Zafar - A mughal ruler wrote this wonderful poem. Favorite verse- "Kisiko Dekhta Itna Nahi haqiqat mein, Zafar main Apni haqiqat kahun tooh kisse Kahu ❤" #love #mushaira lyrics: bharī hai dil meñ jo hasrat kahūñ to kis se kahūñ
    sune hai kaun musībat kahūñ to kis se kahūñ
    jo tū ho saaf to kuchh maiñ bhī saaf tujh se kahūñ
    tire hai dil meñ kudūrat kahūñ to kis se kahūñ
    na kohkan hai na majnūñ ki the mire hamdard
    maiñ apnā dard-e-mohabbat kahūñ to kis se kahūñ
    dil us ko aap diyā aap hī pashemāñ huuñ
    ki sach hai apnī nadāmat kahūñ to kis se kahūñ.
    kahūñ maiñ jis se use hove sunte hī vahshat
    phir apnā qissa-e-vahshat kahūñ to kis se kahūñ
    rahā hai tū hī to ġham-ḳhvār ai dil-e-ġham-ghīñ
    tire sivā ġham-e-furqat kahūñ to kis se kahūñ
    jo dost ho to kahūñ tujh se dostī kī baat
    tujhe to mujh se adāvat kahūñ to kis se kahūñ
    na mujh ko kahne kī tāqat kahūñ to kyā ahvāl
    na us ko sunñe kī fursat kahūñ to kis se kahūñ
    kisī ko dekhtā itnā nahīñ haqīqat meñ
    'zafar' maiñ apnī haqīqat kahūñ to kis se kahūñ!
    2 min
  • Zindagi
    By Firaq Gorakhpuri. Best line: बहुत पहले से उन क़दमों की आहट जान लेते हैं
    तुझे ऐ ज़िंदगी हम दूर से पहचान लेते हैं!
    3 min
  • Dil-e-nadan ❤
    By Mirza Galib❤  #Love 
    Mushaira |  Nazm | Shayaris 
    Lyrics: 
    dil-e-nādāñ tujhe huā kyā hai
    āḳhir is dard kī davā kyā hai
    ham haiñ mushtāq aur vo be-zār
    yā ilāhī ye mājrā kyā hai
    maiñ bhī muñh meñ zabān rakhtā huuñ
    kaash pūchho ki mudda.ā kyā hai
    jab ki tujh bin nahīñ koī maujūd
    phir ye hañgāma ai ḳhudā kyā hai
    ye parī-chehra log kaise haiñ
    ġhamza o ishva o adā kyā hai
    shikan-e-zulf-e-ambarīñ kyuuñ hai
    nigah-e-chashm-e-surma sā kyā hai
    sabza o gul kahāñ se aa.e haiñ
    abr kyā chiiz hai havā kyā hai
    ham ko un se vafā kī hai ummīd
    jo nahīñ jānte vafā kyā hai
    haañ bhalā kar tirā bhalā hogā
    aur darvesh kī sadā kyā hai
    jaan tum par nisār kartā huuñ
    maiñ nahīñ jāntā duā kyā hai
    maiñ ne maanā ki kuchh nahīñ 'ġhālib'
    muft haath aa.e to burā kyā hai
    2 min
  • Pehli Si Mohobbat
    GreatGrandGazals brings to you new episode and yet another writing of Faiz Ahmad Faiz: Muzse pehli si mohobbat mere mehboob na mang!❤ #urdu #urdupoetry #gazals
    2 min
  • poems by Faiz Ahmad Faiz
    This podcast brings to you best poems and gazals by Faiz Ahmad faiz. The present one is known for this line: तुम अपनी करनी कर गुज़रो
    जो होगा देखा जाएगा!
    ---
    This episode is sponsored by
    · Anchor: The easiest way to make a podcast. https://anchor.fm/app
    2 min

About GreatGrandGhazals(G3)- Alfiya Sheikh

From the publisher's feed

G3 (Great Grand Gazals) brings to you the best of all written gazals by all kind of poets.