YÚHANNÁ 2: 11Yih pahlá muʻjiza Yisúʻ ne Qáná e Galíl meṉ dikhákar apná jalal záhir kiyá, aur us ke shágird us par ímán láe.Ye mukaashfa yisu masih ke fazl se ruh l quds ki madad se ye pura mukashafa likh chukka to pure 7 din ho chuke the ,, or isiki Recording date hai 30 Oct 2022 Pani ko mai bhadlna yani jismani ahd ko purane ahd ko naye ahd men badlna Purani insaniyat ko jismani insaniyat ko nayi insaniyat men badalna Gunah aluda jism ko ruhani taur par rastbazi men badlna Pehlla maujiza nihsan hai mukashafa hai maut ko abadi humesha ki zindghi men badlna YÚHANNÁ 2: 6Waháṉ Yahúdíoṉ kí tahárat ke dastúr ke muwáfiq patthar ke chha maṭke rakkhe the, aur un meṉ do do, tín tín man kí gunjáish thí.YÚHANNÁ 19: 38In bátoṉ ke baʻd Aramatiya ke rahnewále Yúsuf ne, jo Yisúʻ ká shágird thá, (lekin Yahúdíoṉ ke dar se ḳhufya taur par,) Pílátus se ijázat cháhí, ki Yisúʻ kí lásh le jáe. Pílátus ne ijázat dí. Pas wuh ákar us kí lásh le gayá. 39Aur Níkudemus bhí áyá, jo pahle Yisúʻ ke pás rát ko gayá thá, aur pachás ser ke qaríb murr aur ʻúd milá húá láyá. 40Pas unhoṉ ne Yisúʻ kí lásh lekar use sútí kapṛe meṉ ḳhushbúdár chízoṉ ke sáth kafnáyá, jis tarah ki Yahúdíoṉ meṉ dafn karne ká dastúr hai. 41Aur jis jagah use salíb dí gayí, waháṉ ek bág thá, aur us bág meṉ ek nayí qabr thí, jis meṉ kabhí koí na rakkhá gayá thá. 42Pas unhoṉ ne Yahúdíoṉ kí taiyárí ke din ke báʻis Yisúʻ ko wahíṉ rakh diyá, kyúṉki yih qabr nazdík thí.To yisu masih ne pehle maojize men hi qana galil ki shadi men apni maut ka salibi qurbani ka izahar kardiya nayi zindghi nayi shrishat ka nishan zahir kardiya Ke ye piyala mere khun men naya ahd hai qana galil ki shadi ke din pehle maojize ke dauran hi alpeh men tav ko zahir kardiya