
Sign up to save your podcasts
Or


Maa-Baap jub jahan se uth jate hain
Ik khalipun chhod jate hain
Yeh zakham nasoor ban jata hai
Yoon lagta sur se chhut udh jati hai.
Aaj unki yaad bahut aati hai
Mere aansoo behte jate hain
Na jaane who kya kehna chahte hain.
Zindagi phir bhi guzurti hai
Phir koi baat unki yaad le aati hai
Woh guzra zamana yaad aata hai
Unka bepana pyaar tadpata hai.
Kyon bichadte hai humse pyaare log
Aur yaadein chhod jaate hai
Na jaane kub kiss jahan mein
Hum unse kabhi mil bhi paate hain.
Ped ke shakhon pe
Jab lehrati hain pattiyaan
Musafir ko thandi chaav
Deti hain pattiyaan.
Thakke haaron ki raahat ka sila
Banti hai pattiyaan
Khuda ki nehmat ka
Ek hissa hain pattiyaan.
Patjhad aane par jab
Gir jaati hai pattiyaan
Tab sabke kadmon tale
Raundi jaati hai pattiyaan.
Pattiyaan ‘gar bol paati to kehti
“Meri chaav tale baithne waalon
Tum aaj mujhi ko kuchal de rahe ho bereham
Taras na aaya meri bebasi pe?
Kyon ehteram se uthakar na rakh diya kahin pe”?
Duniya ka bhi yahi hai dastoor
Chadhte sooraj ko salaam hai jaroor
Dhalti umra ka koi lehaj nahin
Kuch apnon ka bhi dhyaan nahin
Waqt unpar bhi kabhi aayega
Iska bhi ehsaas nahin.
Paiso ki bas daud lagi hai
Pyaar ka koi mol nahi hai
Kalyug ke is daur ka hai yeh kasoor
Jo apnon ko rakhen apnon se door
Duniya mein keher barsaaye
Kahin bhukamp to kahin bimari laaye.
Ae Maalik tu karde kuch hum pe karam
Mitaa tu iss duniya se maaya ka yeh bharram
Khuda ne jub yeh shareer banaya
Hur ang mei uske ek sabak chhipaya.
Sur main soch tum achi rakho
Dimag ko apna thunda rakho
Gusse pur tum kabu rakho
Phir duniya muthi main rakho.
Mustak main hai jo aankh teesri
Khuda ki usi se hai dor bandhi
Nainon se bandon mein khuda dekho
Aansoou se unke gum ko dho dow.
Do kanon ke beech ek naak phussa hai
Kehte hain usper gussa rakha hai
Kaan achha sunne ki kuwat rakhte hain
Naak achhi khushboo jaan lete hain.
Zuban se mithi boli bolen
Hothon se muskaan phailayein
Dil dhadkta hai seene main jub tak
Mohabbat ka ehsas ho tub tak.
Kandhe pur ho dukhion ka bojh
Madad karein kaise bus yeh ho apni soch
Kamur lachakti hai tow duniya mein masti hai
Yeh jub toot jati hai toh ikk hook si uth jati hai.
Do haath bane hain dua mein uthane ke liye
Bebus aur lacharon ke sahare ke liye
Pet mein jub bhookh ki aag lagi ho
Us aag ki taseer ko samjho
Kisi gareeb ki bhookh ko mita do
Usey lazeez bhojan khila do.
Reerh ki haddi kehti hai hamesha sidhe chalo
Ultey sidhe raston pur tum kahin na bhatko
Tango se chalna hai tumhe, pairon ne vazan lena
Un pur chal kur tum bhi apni duniya ko savarna
Insanon ki basti mein ja kur, bus pyaar hi phailana hai
Tumhe door bahut jana hai, Tumhe door bahut jana hai.
Jism mein ajeeb se jhanjhanahat hain
Par chehre pe naya noor hain
Haath kapkapate hain
Honth tharrate hain
Aansuon ka sailab hain
Dil milne ko betaab hain
Is khayaal se jab yeh haal hain
To milan mein kya hoga.
Aajayen jab woh samne
Lelen apne aagosh mein
Sochti hoon kabhi mein
Woh manzar kaisa hoga
Ajeeb hoti hain yeh dasha
Na kehte na sun paate hain
Kaisa hai yeh khoobsurat ehsaas
Bas mehsoos hi kar paate hain.
Khuda mujhe itni toufeek dede
Ki teri hi jhalak har kisi mein paoon
Jis taraf mein nazar uthaoon
Bas tujhe he dekh paoon
Ya phir milan ke khayal mein
Yuhin tadapti jaoon ----??
Akele rehne se mat ghabrana
Yahi samay hai khud ko pehechanna
Antardhyan jub ho jaaoge
Apne aap ko tub hi paaoge
Kitni shanti kitna sukoon in raahon mein
Yeh tub hi toh jaan jaaoge.
Na koi khauf na fikra hoga
Bus usika har taraf zikra hoga
Duniya ki moh-maya se hut kar
Bahut kuch hai oos duniya ke andar
Is duniya mein bejhijhak chale aaow
Mushkilon se phir nijaad paaow.
Mehfooz ho chahe duniya saari
Nahi hogi sirf duniyadaari
Heere–moti ki hawas na hogi
Roti–paani se zindagi basar hogi
Bharenge hum bus uska dum
Chahe sub kahein humein malang.
Pyaar mohabbat beinteha bategi
Ek hi se bus taar judegi
Log chahe kahein deewana
Par ab kaheka pachtaana
Judh jaaye jub us se preet
Toh har taraf hai apni jeet.
Har saans usi ke naam se hogi
Usi ki tareef zuban pe hogi
Anhad naad goonjege yoohin
Har taraf bus tuhi tuhi.
Asman se tooti
Badlon se phooti
Ik nanhi si boond
Humein kya samjhati hai??
Chahe choti si ho zindagi
Wahi uttam kehlati hai
Jo apna astitva kho kur bhi
Doosron ke kaam aati hai.
Jub baarish ki nanhi boondein
Tip tip karke aati hain
Jub pehli baochar mausam ki
Kheton ki pyas bujhati hai.
Kisanon ki umeed pur
Yeh khari utarti jaati hai
Naye mausam ke aagman mein
Khushi ki ek leher daud jaati hai.
Khushiyan deti ek nanhi boond
Dharti mein sama jati hai
Na koi gila na koi shikwa
Bus apna kartavya nibha jaati hai
Jaate jaate phir bhi us mitti mein
Apni khushboo chod jaati hai.
Maine poocha in pahadiyon se
Ki bane ho tum kis mitti ke
Sadiyon se tum yuhi khade ho
Thakte nahi kya raksha karte?
Sewa ka yeh bhao nirala
Bas apna kartavya hai aala
Na kuch sunna na kuch kehna
Har pal uski raza me rehna.
Chattan hai hum rahenge datkar
Is dharti ki shaan bankur
Aandhi aaye toofan aaye
Jhukenge nahi hum inse darkur.
Khush kismat hai hum
Acche honge hamare karam
Ki khuda ne hume himmat di
Ki sewa kare hum is duniya ki.
Rishi munni hamare shikhar par aaye
Tapasya ki, aur shank bajaye
Dhanya ho gayee hamari mitti
Aur tirath ban gayee hamari hasti
Hume mila ek uttam sthan
Aur yeh ban gayi hamari pehchaan.
Neela asman hai shaant bin badal
Mano yeh chhavi ho sagar ki bemisal.
Ped ki ik shakh pe gaati hui koyal
Charon aur haryali ka manzar.
Thunde hulke pavan ke jhonke
Kiayrion mei yun phool jhoomte.
Pahadiyon ke pichhe se
Haule haule sunehra rang phailatey.
Jhadiyon ke beech se
Kuch aitrate- kuch muskurate.
Jhank raha sunehra sooraj
Nayi subah ka aagman karta hai
Kya isi ko swarg kehte hain???
Chaand se yun lipte baadal
Koi to purana rishta hai
Kuch halki-phulki baatein karke
Mann mouji chale kahan? - kise pata hai.
Apni masti me garajte baraste
Ya phir shant swaroop se badhte
Kis aur chale jaate hain
Yeh marzi hai unki;
Kahan kho jaate hain
Yeh kismat hai unki.
Awaara baadal hain hum
Manzil gumshuda hai
Chalo chalein us raah par
Jahan khuda khada hai.
Baahein pasaare humein woh bula raha hai
Ek kadam chalein hum sau woh badha raha hai
Uske aagosh mein jaakar hum fana ho jaaye
Noor ki hum nanhi kiran-vishal jyot mein sama jaaye.
Aao chalo iska prayas karein hum
Uske har pharmaan ko muqaddar bana lein hum
Uspe yun bharosa ki khud maghloob ho jaaye hum
Aur jeevan ko yun ek nayee disha de hum
Allah ka ho karam || Moula ka ho karam||
Her roz nayi subah hoti hai
Her roz shyam bhi aati hai
Her roz suraj nikalta hai
Her shyam vahi dhal jata hai
Yeh Naya Saal Kya Hota Hai?
Naye saal ke aagmun mein
Kuch khuda ki ibadut karte hain
Kuch naach gaanon se naye saal
Ko aamuntrit karte hain.
Tub hur dil mein khwahish hoti hai
Naya saal khushiyon bhara ho maalik
Bus yahi ardas hoti hai
Pur Yeh Naya Saal Kya Hota Hai?
Her pul gur naya saal bun jaayé
Khushiyon ki saugat lutayein
Khuda bhi rehmut ki baarish barsaye
Pyaar mohabbat ki saugandh phailayen
Kul kisne dekha hai yaron
Her pul naya saal manaye
Yeh Naal Saal Kya Hota Hai?
From the publisher's feed
This is part of my ‘Dil Se’ series of poems written over a period of 25 years. This has also been self-published as a book named Dil Se - With a touch of gold.