Sach Ki Duniya

Sach Ki Duniya

By SACH'S_GRAPHYLeisureHobbies
Download on the App Store

Sach Ki Duniya episodes

  • Muskurahat...smile
    LYRICS=Jivan muskurati bedardi ki tarah,
    Aur aashayein na hasti uss jagah,
    Agar jivan chal de apne marzi ke tarah,
    Toh khusnumaan jivan hasti sada,
    Par jivan hai ek khel yaha,
    Kuch pal ka Mel yaha,
    Mile na milta yeh kal yaha,
    Aur kal talta jo karte kal yaha,
    Kabhi mai toh kabhi tum yaha,
    Kabhi tum toh kabhi mai jo gumm,
    Apne duniya me yaha,
    Jivan(EK) hai jo mila,
    Aur mann baithaye rahte wo na khila,
    Jivan sikhati yaha yahi silsila,
    Aur badalti jivan dhayra rakhne,
    Ka sikhati kala,
    Phalan(kisi ke bhi) ki baato me samay jo chala,
    Tab chintit kyu bhala,
    Samay rahte jo tu na sambhala,
    Tab jivan muskurati phir bedardi ki tarah,
    Chuppi saadhti aur chalti musafir ki tarah,
    Aur musafir tut-te mann se roz is tarah,
    Jaise tut-te taare Swarg se jis tarah,
    Khusnumaan khwahishe khojte log,
    Aur banjate ek aur mushafir iss tarah,
    Mashire(Happiness) apne dhunnte,
    Aur Ginnte din yaha jis tarah,
    Samay seemit aur kaam anek dhara,
    Seekh ka jivan aur sikayate jo hai bhara,
    Khusnumaan jivan aur na bedardi rakh khara,
    Yah jivan apne aur na kho ban sapne ki tarah,
    2 min
  • Ek shabd kahna tha...
    LYRICS= Ek shabd kahna tha,
    Atta Haas(loudly) hasna tha,
    Sahna kuch shabd tha,
    Apsabdo ka na armaan tha,
    Nishabd jo jubaan tha,
    Chupana kuch na tha,
    Sabkuch jo sukh tha,
    Ab mukh kuch rookh tha,
    Ek tuk jo na dikh tha,
    Kya pata yah seekh tha,
    Bheet(close) na meet(मीत) tha,
    Yah reet na geet tha,
    Sameep bann,ab wo ateet tha,
    Ek shabd na bak jo seekh tha,
    Aj bhale hi ikkis(21) tha,
    Wayarth naa seekh tha,
    Ek shabd jo kahna tha,
    Kosna bhi tha,
    Nazariya mera bana dekhna tha,
    Seekhana kuch nazariye jo mera tha,
    Shabd aneko Ginn,
    Atta Haas hasna tha,
    Shabd jo mera tha,
    Badbhakt(miserable) waqt tha,
    Beshak(unquestionably) shabd satya tha,
    Aur kathyaa jo kahna tha,
    Aur bina kahe kuch sahna tha...
    1 min
  • एहसास...Papa ka(Father's day special)
    LYRICS=Haath tha sar pe,
    Aihsas tha na kab se,
    Bezubaan aur naasamajh tha jab se,
    Muskurata tha hass ke,
    Jab haath phirti thi sarr pe,
    Woh nikle jo saher the,
    Aur baitha tha mai ghar pe,
    Saher jo kaher de,
    Par beta tha ghar pe,
    Rupiye thore jo the jeb me,
    Par haare na the,
    Bhale chaath na ho sar pe,
    Soye the footo pe kuch kast sah,
    Aur acchi cheeze la ghar pe beta hass de,
    Papa jo aaye the,
    Sang khusiya laye the,
    Aur din ki kast sah woh muskura aaye the,
    Apni bhook chura roti apni khilaye the,
    Aur bhook meri mita kahte,
    Beta tu khata kyu kam itna,
    Bada hoga khayega jitna,
    Aur bhook rakh wo adhoora apna,
    Sapna woh din the,
    Kuch haath sahra apni kandho pe sulaye the,
    Cycle pe jo bitha ghumaye the,
    Aur raat raat na soo chup chap jo roye the,
    Mere sapno ke liye khoye the,
    Aur thora jo,
    Bete ke liye jo lade the,
    Meri baato ko apna bana ade the,
    Duniya ka na sune the,
    Kahte unka kaam hai kahna,
    Karna jo tera mann kahta hai na,
    Peeche mai khada hu,
    Phir chinta tujhe kyu karna,
    Papa mera kya kahna,
    Kapde na naye pahente,
    Par bete ko naya kapde,
    Tayohar par hamesha dete,
    Papa mere sapne apse,
    Aur ayyana(mirror) mai apka,
    Sada muskurate,
    Ap rahe aur muskura mai dunga bina kahe...
    2 min
  • एक वक्त था.. Time...
    LYRICS= Ek waqt tha,
    Betuka zuban tha,
    Ek waqt tha Satata na waqt tha,
    Ek waqt tha Na gamm waqt ka tha,
    Ek waqt tha jab waqt kam na tha,
    Ek waqt tha Sota sahej se waqt par tha,
    Jagta aur waqt wafadaar tha,
    Ajj Betuka na zaban tha,
    Kurbaan jo waqt tha,
    Soch ka waqt kharish tha,
    Na zikr zari waqt ka tha,
    Aj waqt bewaqt dikhta sakt tha,
    Waqt na waqt de raha,
    Aur kahte dikhta hai tu na,
    Gaya hai tu kaha,
    Khoje milta na tu jaha taha,
    Milne me bhale hua derr,
    Khair Yu bit-ti yah sama,
    Par durr na mai yaha,
    Sochta hoon aur kuch Saha,
    Waqt dar waqt chalte chala,
    Bina kahe kaha,
    Mazboor jo waqt se,
    Waqt par bate mashoor ye,
    Waqt dar waqt Badalta zaroor yeh,
    Aur lagta na derr yeh,
    Yahi kudrat ka jo sab kahe,
    Milenge phir jab waqt-waqt de,
    Kuch mere kuch apne gumm yu sahe,
    Aur zikr kar yeh waqt apne Kate,
    Betuke zubaan apne par kurbaan waqt yeh,
    Aur yah apne saath chalte chale ...
    1 min
  • उधार...
    LYRICS=Udhaar ka yah jivan,
    Khuddar(honest) aisa mann,
    Sudhaar ka jo swapn,
    Jimmedar jabse janm,
    MEHNATI tann,
    Aakros ki baate jo sunn,
    Khari khoti ki aadat bann dhunn,
    Apni hi soch me gumm,
    Soch jaisa sach,
    Sunna hoti naa kharch,
    Bann dawa ya marz(ailment),
    Sach se satark,
    Mera farz,
    Naam dhara aur aarz,
    Aarz se aarzoo(desire,wish),
    Udhaar taulata rakh taarazoo(weigh),
    Jaisa bazaar aur sarai(rest) yuu,
    Khusiyan thora jo kharidta huu,
    Mann ko sikha tayaag huu,
    Mitaa jo kuch yaadein huu,
    Sahejta bit te pal jo huu,
    Sikhata khudd,
    Aur khudd samajhdaar hota huu,
    Kirdaar wafadaar apno ka huu,
    Sapne sahrata aur rakha kuch udhar yu,
    Uddhar iss udhar se ugrr,
    Khayalat jo sirf suddhar,
    Aj ya kal is pal se uddhar,
    Aur sapno ko palko se sahej,
    Soou palke jhapka,
    Rakh mahej waqt ek,
    Udhar se farzdaar,
    Karm se karmdaar,
    Chuka is udhar,
    Aur jivan bann Sridhar(divine one)...
    1 min
  • कलम...Pen
    LYRICS=Kalam,
    Jab kamaan(order) de yah kalam,
    Likh Alfazo ka sitam,
    Katl karti yah kalam,
    De kai sare jakhm,
    Baate khatm,
    Chalti yah kalam,
    Mit-ti yah गम,
    Rame jisme tum aur hum,
    Toh sunn,
    Yah kalam ki sitam,
    Sabde likh jo bann madhyam,
    Jodte mann,
    Sach jo hai satyam,
    Likhti yah kalam,
    Apne lekhak ka mann,
    Rakh thoda sayyam,
    Padhte kai Jan,
    Laga apna mann,
    Kalam se swapn,
    Swapn se mann,
    Mann se marjj,
    Marjj khud se khudgarz,
    Khudgarz se garaz,
    Bana naam iss kalam ka bann awaam,
    Ya kalam se Kalam,
    Jise poochegi jahan...
    1 min
  • सूरत...
    Zaroorat jo madad ki thi,
    Qurbat(estimated) toh meri soorat ki,
    Jaise moorat rakh dekhte toorat(turant hi-subah se),
    Khoobsurat soorat jaisa Suraj,
    Uugta dekh kahte,
    Wah nakasi upar wale ki,
    Khoobsoorti teri meri ankhon me basi,
    Jaisi ugta din khoobsurat badi,
    Jab soorat naa rahi,
    Tab fitrat badli,
    Din laga dhali,
    Aur log rahe naa kuch asli,
    Kahte dikhta tha tu kyu jaali,
    Soorat naa par phitrat teri kaali,
    Saheja jise phool bana maali,
    Aankhon mein soorat jo thi saambhali,
    Bit-te waqt aur mai rakhwali,
    Madhosi matwali,
    Soorat sada hai zaali,
    Parakhna maan dikhta jo na,
    Nazre hazaro daali,
    Maan Chupaye ghumte yaha sab,
    Dikha soorat rutbe waali,
    Aur dhokhe milte,
    Nazre do tuk sambhalte,
    Raste phir sambhaal kar chalte,
    Umrr dhalte,
    Kuch din jo khalte,
    Madad ka assrit tab na rahte,
    Apne mann ki kaaman sunte,
    Kaamnao ka zikr na karte,
    Apne zikr me khud kalam chalate,
    Kuch seekh kuch sikha,
    Soorat ki mast hawa me na baha,
    Aur chalte chala,
    Jahan Ka na khatma,
    Jaha payr dhara waha 7we aasman,
    Jahan mann laga wo bana assiyan,
    Madad ka na jikr ek sabd,
    Bas chlna ho Nishabd ..
    2 min
  • जी या मर...
    LYRICS= Ji yaa marr...
    Kar jeete ji kuch kar,
    Khafa naa rah khud par,
    Naa samajh toh dusro se seekh,
    Aur bol usko sir,
    Sar laga khud ka,
    Aur kuch kar ke dhar,
    Sikhkar,
    Samajhkar,
    Sikhakar,
    Samjhakar,
    Bann thora teez tar-raar,
    Yaa dheet bann kar,
    Stithi suwikaar,
    Ya stithi sudhar,
    Jo tere haath,
    Tab jeet ka haar,
    Aur jivan falhaar(fruitful),
    Aur damdaar teri salah,
    Sametenge logg samajh teri kala,
    Aur teri seekh se jo chala,
    Wo phala fula,
    Aur badhta tera silsila,
    Machla maan,
    Aur dara agar,
    Toh zara tha-har,
    Jhakkar dekh,
    Kami kidhar,
    Sudhar aur jeete ji kuch kar,
    Samay geena hua,
    Aur paristhiti kisi ka naa ek jaisa thama hua,
    Naa koi yaha chuna hua,
    Mauke sab ko mila yaha,
    Bina jo kahe kaha,
    Aur ghuma tu jaha taha,
    Samay kat-ta raha,
    Jeena aur marna yaha,
    Par jeete ji naa kuch kiya,
    Toh jivan na rona dhona,
    Kahe na sikhna?,
    Chahe Na Karna,
    Kya marna?,
    Jeene ki chaah rakhna,
    Bada kaam tujhe hai jo karna...
    1 min
  • मां की हाथ की रोटी...
    LYRICS=Maa ki haath ki roti,
    Ajj sambhal rakhi thi,
    Jo thi do din ki,
    Sukhi,baasi,subah ki ubashi,
    Swaad ki sabashi,
    Har niwale ki,
    Nasib wala,
    Kismat meri,
    Roti ghar ki,
    Maa ki hatho ki,
    Naa hisab ki,
    Bhar pet jo thi,
    Khai thi abhi,
    Nasha sa chane jo laga,
    Gumaa mera astitwa,
    Jab khoj chao maa ke anchal tabhi,
    Sukhmai chao,
    Maa ki anchal ki,
    Thappad-thapki,
    Roti-choti,
    Niwala sukoon ki,
    Loriyan sahejta pal-pal ki,
    Jo suni thi,
    Aur siski jo unki godd me bhari thi,
    Sahrati sar aur duniya jo meri,
    Aaj hua bada aur khusiyan jo sang thahri,
    Bann jaisa chawi,
    Aur likh ankit karta mai,
    Jaisa kawi,
    Roti maa ki haath ki...
    1 min

About Sach Ki Duniya

From the publisher's feed

Duniya rangeen hai rang jaise anek, nazariya mera ek,sunn rakh thora vivek...jan-ne ko milega is duniye ke awshesh...zara mere nazariya thora dekh...(sunn)