Sach Ki Duniya

Sach Ki Duniya

By SACH'S_GRAPHYLeisureHobbies
Download on the App Store

Sach Ki Duniya episodes

  • गलतियां...Mistakes...
    LYRICS=
    Galtiyan,
    Galtiyon ka aadhar kya tha?
    Aadhar na pahchan ka,
    Jab galat tab pata hua,
    Galtiyan kiya aur woh bana sudhar ka zariya,
    Nazariya badle yah galtiyan,
    Aur pare na iss-se koi yaha,
    Galtiyan kar koi jayega kaha,
    Bigadne aur sudharna bhi yaha,
    Sudhre aur galat samjhe gaye phir agar,
    Toh Fikar na kar,
    Sambhalkar chal,
    Khud ka hitaysi hokar,
    Kuch sikhkar,
    Kuch sikhakar,
    Apne galtiyon aur gumaan ko bhulakar,
    Tabhi badhkar bada hota insaan,
    Jise puchti jahaan,
    Mit-ta nahi uska nishan,
    Galtiyon ki seekh phir galat na rahta insaan,
    Na sunsaan uska imaan,
    Sirf udta wo satwe aasmaan,
    Sirf uchi chadhan jaisa vimaan,
    Tab seekh ka na rakh abhimaan,
    Badhte udte girte padte,
    Apne Galtiyon se khud sikhte...
    Chalte aur sirf udaan bharte...
    Aur galtiyan na karte ...
    1 min
  • Karma ya kaher?
    LYRICS=Mera saher me,
    Ghuma thora ho aj matlabi,
    Yeh galiyan jo thi pahle ki,
    Raaste galiyaan hai mera sahar,
    Aj bimarai bana yaha jaher,
    Aur beeta jo yass ka paher,
    Baadal Barsha jaisa kahaer,
    Bana gaya galiyan nahar,
    Aur chalti zindagi kuch tha-er,
    Log kahenge yeh karma ka kaher,
    Ya prakriti ki aapda ka jaher,
    Par zindagi gayi hai kuch thaher,
    Na chaath aur nange payrr,
    Kitne jo yaha mere saher,
    Jo hai footo par thaher,
    Aur rozmarra ki jivan gayi bikher,
    Sahme mazboor Mazdoor jo nange payr,
    Chale ghar ki orr na kahi tha-her,
    Aur rog badha yaha har pahar,
    Aur dawai bani jaisi Maher(too imp),
    Saath ka kaher,
    Swaas na ho toh jaher,
    Oxygen ki zaroorat sarwopaher,
    Yeh galiyan jo thi pahle ki,
    Na rahi abhi pahle jaisi,
    Pucha haal tu kaisi?,
    Illaj kara sab yaha,
    Aur haalat jaisi taysi,
    Kya karma pyasi?
    Ya prakriti ki aapada thaha-si?,
    Pata na par rog aapada fayla,
    Teez jaisi speed paar nawaasi(89),
    Ghuma apne saher me ho thora jo matlabi,
    Thora chinta ka kysi(jiggyasu),
    Yeh saher aur galiya meri ,
    aur yaha ka jo mai niwasi...
    2 min
  • मेरी मां...
    LYRICS= Tujhe mai kaise mai batau,
    Waitha(pain) meri yah sata yu,
    Maa meri,
    Khaya na tha mai yu,
    Jo bichda pardesh me aj hu,
    Bit-ti na raat yu,
    Godd me varsho se soya na mai aaj yu,
    Daant aur hasi teri dono yaad yu,
    Bhoola na mai ek bhi din raat yu,
    Bitaya tere ek saath maa yu,
    Pyaar tera ek tarfa tha maa mere liye,
    Aur khudra maan jo mera yu,
    Sudhra na yu,
    Dhundta chala pyaar bahar kyu?,
    Thokar mila dhikkar yu,
    Aur maa tu mujhse ruthi naa yu,
    Mera beta hai tu,
    Kahti aur galtiyan sudharti tu,
    Maa meri,
    Badappan ki galtiyan ko bachkani samajh,
    Samjhati aur chupati yu,
    Jaisa beeta na kuch yu,
    Aur puchti naa,
    Aisa kiya tu kyu?,
    Meri maa,chinta me yu,
    Rahu ghar ya pardesh,
    Puch khana khaya hai tu?
    Aur sahmi jab kharab,
    Meri tabiyat yu,
    Maa dekh tera beta ruth-ta na yu,
    Parchhayi jo meri tu aur bana tujhse hu,
    Meri maa,
    Meri jo umrr tu,
    Sada khush rahna tu...
    1 min
  • सावन... Monsoon...
    LYRICS=Sawan samete Pawan udhede,
    Ritu jo varsha ki umrre,
    Adhedd mann sawan me simte,
    Baadal umad umad jo aj ghire,
    Aur andhera mann ko simte,
    Baadal barse barse jaise nahre,
    Rim jhim yah sawan hai re,
    aur parasparik(ek jaisa) maan geet gaata ho magn(doob jana),
    Bach bachate chipte logg,
    Par yah din nahi aghnn(not September but monsoon),
    Aur wighnn(harsh, difficult) grishm(summer,heat),
    Durr karta saawan swaym(khud se),
    Aur maan karta pratyn(koshish),
    Rim jhim ho jau is sawan me magn,
    Bhool wade aur kasm,
    Yah sawan jo saalo saal ki rasm(ritual type),
    Bas ho jau isme magnn,
    Bann khud sawan ke sang,
    Dhala khud ka raang,
    Is sawan ke mausam...
    1 min
  • मन...
    LYRICS=Maan,
    Mai baitha tha,
    Na jane kis kone me rutha tha,
    Anutha na mera waitha tha,
    Na maine kisi ko bataya tha,
    Na kisi ne sataya tha,
    Waitha(pain) na sikhaya,samjhaya hua tha,
    Aap hi aaya,aap hi samajh gaya,
    Aur chintit ho us pal me khoya,
    Thora jo roya,
    Aur ruwasa ruhh sahma sa rah gaya,
    Chinta me dooba haya(sharm) aur sab maya,
    Kuch samajh me na aaya,
    Aur baitha khud jaisa maan tha,
    Khatm na gaam tha,
    Sikha maan ko raha,
    Rah na magn waitha me bhara,
    Yah duniya badi aur bhale rah kuch khara,
    Sahma adhmara maan baitha tu na rah,
    Chal uthh rakh jitne ki chah,
    Aur yah duniya jhukegi teri rah,
    Khatma na yah,
    Bas jitne ki chah,
    Tab maan tayrta rah saatwe aasman,
    Aur sama rahti na parwan,
    Baitha maan tu rah na rawa,
    Ruthne ka samay nahi yaha,
    Aur chalte ja bina kahe kaha...
    1 min
  • पढ़ाई...
    LYRICS= Aj mann ki vibe ho chali thi slow,
    Raat ke baje the do,
    Padhne me mann nahi laga tha jo,yah padhai,
    Sabd teen hi,
    Badi matlabi,
    Rahti saath tabhi jab naa di dhilayi,
    Mann uchat-ta padhai se,
    Jab di gayi dhilayi,
    Yah hai soch ki sikhayi,
    Padh mere bhai,
    Yah Kalam ki likahyi,
    Mahnet ki rupayi(sowing),
    Sradha ki sicchayi,
    Jivan faldayak ki katayi,
    Jivan badalne ki anujayi,
    Na baan harjayi(awara),
    Raat din ek ka ikai,
    Sawera aur shaam bhi samajh na aayi,
    Ekarg mann ki gayi padhai,
    Padh mere bhai,
    छूएगा tab ucchayi,
    Khatm karega samaj ki burayi,
    Yah sabd teen hi,
    Badi matlabi,
    Rahti saath jab na di dhilayi,
    Padh mere bhai...
    1 min
  • मेरे शहर की धून...CITY OF JOY..
    LYRICS= Mere saher ki dhun sunn,
    rah na yu gumm-summ
    Kahti meri baat sunn,
    Agar bichede ho tum,
    Toh aaja mere dhunn me ho gumm,
    Rahti na mai yu gumm-summ,
    Aur yaha ke log harsh(joy) purnn,
    Jo meri dhunn sunn
    Chalte jate,Sahejete haaste,
    Shaam dhalte, subere hote,
    rangeen raate hote,
    Geet jo mera hi gaate,
    ilm ko yaha sab sahejte,
    Na udhaar khate,
    Sahra(jadu) me se sab bahte,
    Rawaiyan(behaviourial attributes)badi rakhte,
    Hasmukh sabhi rahte,
    Choti choti khusiyan sajate,
    Meethi jo baatein hote,
    Aur city of joy jo kahlatein...
    1 min
  • निडर...
    LYRICS=
    Darna mat,
    हौसला रख aur tu ban nidar,
    Darr se मन jata hai maar,
    Seekh mile mujhe jo mujhe idhar,
    Maa bolti beta tu ban nidar,
    इसे पार kar tabhi jeet hai idhar,
    Aur hausle ko tu khojta iidhar,
    Jab hai tere pass jeetne ka jigar,
    Jhukegi ki yeh duniya,
    Likh teri kahaniya,
    Jab chorr tu fiqar aur ban tu nidar,
    Chalta ja kinara dhund apna,
    Tabhi milegi tujhe sikhar,
    Uchi chadhan wale,
    Udna hai tujhe upar,
    Niche tu dekhta kya idhar,
    Aur Niche gira toh,
    Phir chadh sikhar hai upar,
    Nidar wale,
    karte nahi apsabdo ka fiqar,
    Rusne ka time nahi unko idhar,
    Wo chalte,
    Mast hati ki chal,
    Sirf khud ko sambhal,
    Pare maya ke jaal,
    Aur Beet-te saal,
    Woh bante khud missal,
    Dekh jise yaad rakhte sab salo saal,
    Rakh nidar rahne ki khabar,
    Kuch bikhar kar,
    Kuch sudhar kar,
    Jigar me josh jalakar,
    Chakravyuh me na par kar,
    आडंबरों se badhkar,
    Na kismat ki dagar,
    Khud Bharosa kar,
    Bas bann nidar...
    1 min
  • चल...
    LYRICS=Matha(mind) rakh apna jo chala tha,
    Matha jo taraf ek tha,
    Raaste anek,
    Par raaste chala ek tha,
    Kaatein ek na aneko mila,
    Kabhi aapa khoya,
    KaBhi apne ap,
    Aur samay kuch yu guzarta gaye,
    Guzarta samay kuch sikha jo gaya,
    Seekh tha par bichad waqt gaya,
    Aur gumsum sa saaya chaaya,
    Aur gahri saaye me baitha maan samaya,
    Gujarte waqt se ruth-ta mann aur sahem-ti kaya,
    Pal bhar ka dhayra,pal bhar ka chhaya,
    Aur Yeh waqt guzar jayega aur yah pal,
    Milega na beeta hua pal aur kal,
    Beeta waqt kahta sambhal kar chal,
    Duniya gol aur har pal ka hai hal,
    Aur jaisa tu bota waisa pata phal,
    Gahri raat kitni bhi ho,
    Aata zaroor subah ka pal,
    Aur aaja zara sambhal ke yaha chal,
    Falsafe ka na milta phal,
    Bachkani falsaafe ke awsheshe,
    Guzarte sambhlte bigadte dhalte,
    badhte bade hote,
    Chorte chalte jate...
    Waqt bit-te apne,
    Matha ek jo rakh apna chalte jate...
    1 min
  • सोर...
    LYRICS=Kaano me abhi bhi sunayi deti hai woh sorr,
    Shorr jo bajj abhi bhi jorr jorr,
    Suna tha ek baar,
    Aur chal pada tha usi orr,
    Laga yahi hai chorr,
    Waqt ka tha jorr,
    Aur kismat ki sunayi na di shorr,
    Patki iss gali ki or morr,
    Aur kuch wadein torr,
    Khel aisa tha,
    Tha kuch na shoor,
    Kara Dhwasth aur raakh aag sa khaak,
    Khel dekha na kabhi aisa aag sa sahaj,
    Gurur wayarth tha aur lapete aag ne kara raakh,
    Shoor abhi bhi sunayi di,
    Jaise doobti saanse na thahri,
    Aur binn saase wo lau jo pharki,
    Phalak tak woh rah na simati,
    Aur kaano me guunj woh na akhari,
    Saheje mujhe woh shorr baar baar,
    Aur kaano me guunj-ti,
    Shorr aisa tha guunj jo baar baar tha,
    Sunn baar baar aihsaas jo mera tha,
    Suun-tha aur dhundta chala is shorr ki chorr...
    1 min

About Sach Ki Duniya

From the publisher's feed

Duniya rangeen hai rang jaise anek, nazariya mera ek,sunn rakh thora vivek...jan-ne ko milega is duniye ke awshesh...zara mere nazariya thora dekh...(sunn)